samay se pehle bhale shaam-e-zindagi aaye | समय से पहले भले शाम-ए-ज़िंदगी आए

  - Balmohan Pandey

samay se pehle bhale shaam-e-zindagi aaye
kisi tarah bhi udaasi ka ghaav bhar jaaye

ham ab udaas nahin sar-b-sar udaasi hain
hamein charaagh nahin raushni kaha jaaye

jo sher samjhe mujhe daad-waad deta rahe
gale lagaaye jise gham samajh mein aa jaaye

gaye dinon mein koi shauq tha mohabbat ka
ab is azaab mein ye zehan kaun uljhaaye

kisi ke hansne se raushan hui thi baad-e-saba
koi udaas hua to gulaab murjhaaye

ye ek dukh hi daba rah gaya hai aankhon mein
vo ek misra jise sher kar nahin paaye

agar hoon gusse mein phir bhi main chahta ye hoon
main sirf hijr kahoon aur phone kat jaaye

समय से पहले भले शाम-ए-ज़िंदगी आए
किसी तरह भी उदासी का घाव भर जाए

हम अब उदास नहीं सर-ब-सर उदासी हैं
हमें चराग़ नहीं रौशनी कहा जाए

जो शेर समझे मुझे दाद-वाद देता रहे
गले लगाए जिसे ग़म समझ में आ जाए

गए दिनों में कोई शौक़ था मोहब्बत का
अब इस अज़ाब में ये ज़ेहन कौन उलझाए

किसी के हँसने से रौशन हुई थी बाद-ए-सबा
कोई उदास हुआ तो गुलाब मुरझाए

ये एक दुख ही दबा रह गया है आँखों में
वो एक मिसरा जिसे शेर कर नहीं पाए

अगर हूँ ग़ुस्से में फिर भी मैं चाहता ये हूँ
मैं सिर्फ़ हिज्र कहूँ और फ़ोन कट जाए

  - Balmohan Pandey

Depression Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Balmohan Pandey

As you were reading Shayari by Balmohan Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Balmohan Pandey

Similar Moods

As you were reading Depression Shayari Shayari