rawaangi mein samay ka khayal karte hain
phir us ko bhej ke paharon malaal karte hain
zara se talkh-bayaani pasand hain phir bhi
udaas log mohabbat kamaal karte hain
ab un ko ishq ke aadaab kaun samjhaaye
bujhe charaagh hawa se sawaal karte hain
gunah hai ishq pe paabandiyaan baja lekin
tumhaare log to jeena muhaal karte hain
is ek jumle ne karne nahin diya kuchh bhi
jo log kuchh nahin karte kamaal karte hain
रवानगी में समय का ख़याल करते हैं
फिर उस को भेज के पहरों मलाल करते हैं
ज़रा से तल्ख़-बयानी पसंद हैं फिर भी
उदास लोग मोहब्बत कमाल करते हैं
अब उन को इश्क़ के आदाब कौन समझाए
बुझे चराग़ हवा से सवाल करते हैं
गुनह है इश्क़ पे पाबंदियाँ बजा लेकिन
तुम्हारे लोग तो जीना मुहाल करते हैं
इस एक जुमले ने करने नहीं दिया कुछ भी
जो लोग कुछ नहीं करते कमाल करते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Balmohan Pandey
our suggestion based on Balmohan Pandey
As you were reading Pollution Shayari Shayari