sab ke honton pe ye marne ki duaaein kaisi
chaaragar tu ne hamein deen hain dawaayein kaisi
ek hi pal mein badalte hain manaazir kya kya
ham tiri aankhen banaayein to banaayein kaisi
may-kashi chhod do jab bhool chuke ho us ko
ab shifaa mil hi gai hai to dawaayein kaisi
aise haalaat mein hansne ki tamannaa kis ko
aise maahol mein jeene ki duaaein kaisi
andhe logon ko suna dete hain us ka chehra
aap ke log bhi dete hain sazaayein kaisi
hansate-gaate bhi udaasi nahin chhodi main ne
chhod deti hain jo bacchon ko vo maayein kaisi
सब के होंटों पे ये मरने की दुआएँ कैसी
चारागर तू ने हमें दीं हैं दवाएँ कैसी
एक ही पल में बदलते हैं मनाज़िर क्या क्या
हम तिरी आँखें बनाएँ तो बनाएँ कैसी
मय-कशी छोड़ दो जब भूल चुके हो उस को
अब शिफ़ा मिल ही गई है तो दवाएँ कैसी
ऐसे हालात में हँसने की तमन्ना किस को
ऐसे माहौल में जीने की दुआएँ कैसी
अंधे लोगों को सुना देते हैं उस का चेहरा
आप के लोग भी देते हैं सज़ाएँ कैसी
हँसते-गाते भी उदासी नहीं छोड़ी मैं ने
छोड़ देती हैं जो बच्चों को वो माएँ कैसी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Balmohan Pandey
our suggestion based on Balmohan Pandey
As you were reading Depression Shayari Shayari