nikal paau main kaise is asar se | निकल पाऊँ मैं कैसे इस असर से

  - Balmohan Pandey

nikal paau main kaise is asar se
mehakte phool jhadte hain nazar se

mohabbat ke safar ke baad khilwat
safar aasaan hai pichhle safar se

gaye the un se tark-e-ishq karne
nazar hat hi na paai is nazar se

dupatte se vo munh dhaanke hue hain
mohabbat ho gai peele color se

khud apne dil se dar lagne laga hai
koi awaaz aati hai idhar se

निकल पाऊँ मैं कैसे इस असर से
महकते फूल झड़ते हैं नज़र से

मोहब्बत के सफ़र के बाद ख़ल्वत
सफ़र आसान है पिछले सफ़र से

गए थे उन से तर्क-ए-इश्क़ करने
नज़र हट ही न पाई इस नज़र से

दुपट्टे से वो मुँह ढाँके हुए हैं
मोहब्बत हो गई पीले कलर से

ख़ुद अपने दिल से डर लगने लगा है
कोई आवाज़ आती है इधर से

  - Balmohan Pandey

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Balmohan Pandey

As you were reading Shayari by Balmohan Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Balmohan Pandey

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari