is se pehle ki koi aur hata de mujh ko | इस से पहले कि कोई और हटा दे मुझ को

  - Balmohan Pandey

is se pehle ki koi aur hata de mujh ko
apne pahluu se kahi door bitha de mujh ko

main sukhan-fahm kisi vasl ka muhtaaj nahin
chaandni raat hai ik she'r suna de mujh ko

khud-kushi karne ke mausam nahin aate har roz
zindagi ab koi rasta na dikha de mujh ko

ek ye zakham hi kaafi hai mere jeene ko
chaaragar theek na hone ki dava de mujh ko

yun to suraj hoon magar fikr lagi rahti hai
vo charaagon ke bharam mein na bujha de mujh ko

tujh ko ma'aloom nahin ishq kise kahte hain
apne seene pe nahin dil mein jagah de mujh ko

har naye shakhs pe khul jaane ki aadat mohan
dene waale se kaho thodi ana de mujh ke

इस से पहले कि कोई और हटा दे मुझ को
अपने पहलू से कहीं दूर बिठा दे मुझ को

मैं सुख़न-फ़हम किसी वस्ल का मुहताज नहीं
चाँदनी रात है इक शे'र सुना दे मुझ को

ख़ुद-कुशी करने के मौसम नहीं आते हर रोज़
ज़िंदगी अब कोई रस्ता न दिखा दे मुझ को

एक ये ज़ख़्म ही काफ़ी है मिरे जीने को
चारागर ठीक न होने की दवा दे मुझ को

यूँ तो सूरज हूँ मगर फ़िक्र लगी रहती है
वो चराग़ों के भरम में न बुझा दे मुझ को

तुझ को मा'लूम नहीं इश्क़ किसे कहते हैं
अपने सीने पे नहीं दिल में जगह दे मुझ को

हर नए शख़्स पे खुल जाने की आदत 'मोहन'
देने वाले से कहो थोड़ी अना दे मुझ के

  - Balmohan Pandey

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Balmohan Pandey

As you were reading Shayari by Balmohan Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Balmohan Pandey

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari