aaye ho to baitho na karo jaane kii baatein | आए हो तो बैठो न करो जाने की बातें

  - Dharmesh bashar

aaye ho to baitho na karo jaane kii baatein
achhi nahin apnon pe sitam dhaane kii baatein

tum aankh utha kar zara dekho to meri jaan
hai koii jo chhede yahan may-khaane kii baatein

hamne to sanam tum ko yun pooja hai ki hardam
ka'be mein bhi hoti hain sanam-khaane kii baatein

tum shola-b-daamaan ho jigar sokhta ham hain
vo sham'a kii baatein hain ye parwaane kii baatein

mat poocho ki kya haal hua tumse bichhad kar
ab yaad nahin tumse bichhad jaane kii baatein

ham jaise the vaise hi hain vaise hi rahenge
karne do jo karte hain badal jaane kii baatein

kaliyon se sune the tire sharmane ke qisse
bhavron se sooni hain tire khul jaane kii baatein

taaron mein nazar aaye tiri aankh-micholi
maujon ne sunaaien tire bal-khane kii baatein

rah jaao agar paas hamaare kisi soorat
mar jaaye jo chhede kabhi mar jaane kii baatein

aghyaar kii mehfil mein na jaaya karo jaanaan
waan sirf hua karti hain bahkaane kii baatein

sunni hain to phir suniye bashar kii hi zubaan se
farzaane kii baatein hon ki deewane kii baatein

आए हो तो बैठो न करो जाने की बातें
अच्छी नहीं अपनों पे सितम ढाने की बातें

तुम आँख उठा कर ज़रा देखो तो मिरी जाँ
है कोई जो छेड़े यहाँ मय-ख़ाने की बातें

हमने तो सनम तुम को यूँ पूजा है कि हरदम
का'बे में भी होती हैं सनम-ख़ाने की बातें

तुम शो'ला-ब-दामाँ हो जिगर सोख़्ता हम हैं
वो शम'अ की बातें हैं ये परवाने की बातें

मत पूछो कि क्या हाल हुआ तुमसे बिछड़ कर
अब याद नहीं तुमसे बिछड़ जाने की बातें

हम जैसे थे वैसे ही हैं वैसे ही रहेंगे
करने दो जो करते हैं बदल जाने की बातें

कलियों से सुने थे तिरे शर्माने के क़िस्से
भँवरों से सुनी हैं तिरे खुल जाने की बातें

तारों में नज़र आए तिरी आँख-मिचौली
मौजों ने सुनाईं तिरे बल-खाने की बातें

रह जाओ अगर पास हमारे किसी सूरत
मर जाए जो छेड़े कभी मर जाने की बातें

अग़्यार की महफ़िल में न जाया करो जानाँ
वाँ सिर्फ़ हुआ करती हैं बहकाने की बातें

सुननी हैं तो फिर सुनिए 'बशर' की ही ज़ुबाँ से
फ़र्ज़ाने की बातें हों कि दीवाने की बातें

  - Dharmesh bashar

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari