vo meri aankh se mansoob khwaab jaisa tha
andheri raat mein ik mahtaab jaisa tha
meri hayaat thi kaanton ke ek paudhe sii
vo meri shaakh pe khilte gulaab jaisa tha
vo mere saath hi ehsaas ke makaan mein raha
tha ba-naqab magar be-hijaab jaisa tha
tiri nazar kii kami thi jo padh saka na mujhe
vagarna main to khuli ik kitaab jaisa tha
jo mera jhooth tha munsif ne sach use maana
vo mere saath muqaddas kitaab jaisa tha
vo mujhpe chaaya raha umr bhar nasha ban kar
main ek rind tha aur vo sharaab jaisa tha
tumhaari neend meri neend se juda thi magar
tumhaara khwaab sanam mere khwaab jaisa tha
mujhe to jaana zamaane ne uski nisbat se
mere liye to bashar ye khitaab jaisa tha
वो मेरी आँख से मंसूब ख़्वाब जैसा था
अँधेरी रात में इक माहताब जैसा था
मिरी हयात थी काँटों के एक पौधे सी
वो मेरी शाख़ पे खिलते गुलाब जैसा था
वो मेरे साथ ही एहसास के मकाँ में रहा
था बा-नक़ाब मगर बे-हिजाब जैसा था
तिरी नज़र की कमी थी जो पढ़ सका न मुझे
वगर्ना मैं तो खुली इक किताब जैसा था
जो मेरा झूठ था मुंसिफ़ ने सच उसे माना
वो मेरे साथ मुक़द्दस किताब जैसा था
वो मुझपे छाया रहा उम्र भर नशा बन कर
मैं एक रिन्द था और वो शराब जैसा था
तुम्हारी नींद मिरी नींद से जुदा थी मगर
तुम्हारा ख़्वाब सनम मेरे ख़्वाब जैसा था
मुझे तो जाना ज़माने ने उसकी निस्बत से
मिरे लिए तो 'बशर' ये ख़िताब जैसा था
As you were reading Shayari by Dharmesh bashar
our suggestion based on Dharmesh bashar
As you were reading undefined Shayari