khushi mehsoos karta hoon na gham mehsoos karta hoon | ख़ुशी महसूस करता हूँ न ग़म महसूस करता हूँ

  - Behzad Lakhnavi

khushi mehsoos karta hoon na gham mehsoos karta hoon
magar haan dil mein kuchh kuchh zer-o-bam mehsoos karta hoon

mohabbat ki ye nairangi bhi duniya se niraali hai
alam koi nahin lekin alam mehsoos karta hoon

meri nazaron mein ab baaki nahin hai zauq-e-kufr-o-deen
main ik markaz pe ab dair-o-haram mehsoos karta hoon

jo lutf-e-zindagaani mil raha tha ghatta jaata hai
khalish jo dil mein rahti thi vo kam mehsoos karta hoon

tumhaare zikr par kab munhasir hai dil ki betaabi
kisi ka zikr ho main chashm-e-nam mehsoos karta hoon

kabhi paata hoon dil mein ek hashr-e-dard-e-betaabi
kabhi main apne dil mein dard-o-gham mehsoos karta hoon

zabaan par meri shikwa aa nahin saka zamaane ka
ki har aalam ko main un ka karam mehsoos karta hoon

ye dil mein hai jo ghabraahat ye aankhon mein hai jo aansu
is ehsaan ko bhi baala-e-karam mehsoos karta hoon

khushi ki mujh ko ab bahzaad kuchh haajat nahin baaki
ki gham ko bhi main ab un ka karam mehsoos karta hoon

ख़ुशी महसूस करता हूँ न ग़म महसूस करता हूँ
मगर हाँ दिल में कुछ कुछ ज़ेर-ओ-बम महसूस करता हूँ

मोहब्बत की ये नैरंगी भी दुनिया से निराली है
अलम कोई नहीं लेकिन अलम महसूस करता हूँ

मिरी नज़रों में अब बाक़ी नहीं है ज़ौक़-ए-कुफ़्र-ओ-दीं
मैं इक मरकज़ पे अब दैर-ओ-हरम महसूस करता हूँ

जो लुत्फ़-ए-ज़िंदगानी मिल रहा था घटता जाता है
ख़लिश जो दिल में रहती थी वो कम महसूस करता हूँ

तुम्हारे ज़िक्र पर कब मुनहसिर है दिल की बेताबी
किसी का ज़िक्र हो मैं चश्म-ए-नम महसूस करता हूँ

कभी पाता हूँ दिल में एक हश्र-ए-दर्द-ए-बेताबी
कभी मैं अपने दिल में दर्द-ओ-ग़म महसूस करता हूँ

ज़बाँ पर मेरी शिकवा आ नहीं सकता ज़माने का
कि हर आलम को मैं उन का करम महसूस करता हूँ

ये दिल में है जो घबराहट ये आँखों में है जो आँसू
इस एहसाँ को भी बाला-ए-करम महसूस करता हूँ

ख़ुशी की मुझ को अब बहज़ाद कुछ हाजत नहीं बाक़ी
कि ग़म को भी मैं अब उन का करम महसूस करता हूँ

  - Behzad Lakhnavi

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Behzad Lakhnavi

As you were reading Shayari by Behzad Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Behzad Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari