hona hi kya zaroor the ye do-jahaan hain kyun | होना ही क्या ज़रूर थे ये दो-जहाँ हैं क्यूँ - Behzad Lakhnavi

hona hi kya zaroor the ye do-jahaan hain kyun
allah ik fareb mein kaun-o-makaan hain kyun

sunte hain ek dard to uthata hai baar-baar
us ki khabar nahin hai ki aansu ravaan hain kyun

in be-niyaaziyo mein bhi bshaan-e-niyaaz hai
sajde nahin pasand to phir aastaan hain kyun

jis gulistaan mein roz tadapati hain bijliyaan
yaarab usi chaman mein ye phir aashiyaan hain kyun

is ka humein malaal hai hum kyun badal gaye
is ka nahin malaal ki vo bad-gumaan hain kyun

jab dil nahin raha to tamannaa ka kaam kya
jab kaarwaan nahin to pas-e-kaarwaan hain kyun

bahzaad un ke hijr mein ghabra raha hai dil
ab kya kahein kisi se ki bas khaanumaan hain kyun

होना ही क्या ज़रूर थे ये दो-जहाँ हैं क्यूँ
अल्लाह इक फ़रेब में कौन-ओ-मकाँ हैं क्यूँ

सुनते हैं एक दर्द तो उठता है बार-बार
उस की ख़बर नहीं है कि आँसू रवाँ हैं क्यूँ

इन बे-नियाज़ियों में भी शान-ए-नियाज़ है
सज्दे नहीं पसंद तो फिर आस्ताँ हैं क्यूँ

जिस गुलिस्ताँ में रोज़ तड़पती हैं बिजलियाँ
यारब उसी चमन में ये फिर आशियाँ हैं क्यूँ

इस का हमें मलाल है हम क्यूँ बदल गए
इस का नहीं मलाल कि वो बद-गुमाँ हैं क्यूँ

जब दिल नहीं रहा तो तमन्ना का काम क्या
जब कारवाँ नहीं तो पस-ए-कारवाँ हैं क्यूँ

'बहज़ाद' उन के हिज्र में घबरा रहा है दिल
अब क्या कहें किसी से कि बस ख़ानुमाँ हैं क्यूँ

- Behzad Lakhnavi
0 Likes

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Behzad Lakhnavi

As you were reading Shayari by Behzad Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Behzad Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari