fariyaad hai ab lab par jab ashk-fishaani thi | फ़रियाद है अब लब पर जब अश्क-फ़िशानी थी - Behzad Lakhnavi

fariyaad hai ab lab par jab ashk-fishaani thi
ye aur kahaani hai vo aur kahaani thi

ab dil mein raha kya hai juz hasrat-o-naakaami
vo neesh kahaan baaki khud jis ki nishaani thi

jab dard sa tha dil mein ab dard hi khud dil hai
haan ab jo haqeeqat hai pehle ye kahaani thi

pur-aab si rahti theen pehle ye meri aankhen
haan haan isee dariya mein ashkon ki rawaani thi

ai chashm haqeeqat mein duniya ko ye samjha de
baaki bhi wahi nikli jo cheez ki faani thi

bulbul ne to afsaana apna hi sunaaya tha
gulshan ki kahaani to phoolon ki zabaani thi

yun ashk bahaaye the yun keen na theen fariyaadein
ik baat chhupani thi ik baat bataani thi

saada nazar aata hai ab to warq-e-daman
ab tak mere daaman par aankhon ki nishaani thi

bahzaad ka vo aalam bhi khoob hi aalam tha
bahzaad ki nazaron mein har cheez jawaani thi

फ़रियाद है अब लब पर जब अश्क-फ़िशानी थी
ये और कहानी है वो और कहानी थी

अब दिल में रहा क्या है जुज़ हसरत-ओ-नाकामी
वो नीश कहाँ बाक़ी ख़ुद जिस की निशानी थी

जब दर्द सा था दिल में अब दर्द ही ख़ुद दिल है
हाँ अब जो हक़ीक़त है पहले ये कहानी थी

पुर-आब सी रहती थीं पहले ये मिरी आँखें
हाँ हाँ इसी दरिया में अश्कों की रवानी थी

ऐ चश्म हक़ीक़त में दुनिया को ये समझा दे
बाक़ी भी वही निकली जो चीज़ कि फ़ानी थी

बुलबुल ने तो अफ़्साना अपना ही सुनाया था
गुलशन की कहानी तो फूलों की ज़बानी थी

यूँ अश्क बहाए थे यूँ कीं न थीं फ़रियादें
इक बात छुपानी थी इक बात बतानी थी

सादा नज़र आता है अब तो वरक़-ए-दामन
अब तक मिरे दामन पर आँखों की निशानी थी

'बहज़ाद' का वो आलम भी ख़ूब ही आलम था
'बहज़ाद' की नज़रों में हर चीज़ जवानी थी

- Behzad Lakhnavi
0 Likes

Shaheed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Behzad Lakhnavi

As you were reading Shayari by Behzad Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Behzad Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Shaheed Shayari Shayari