yun to jo chahe yahan sahab-e-mehfil ho jaaye
bazm us shakhs ki hai tu jise haasil ho jaaye
nakhuda ai meri kashti ke chalaane waale
lutf to jab hai ki har mauj hi saahil ho jaaye
is liye chal ke har ik gaam pe ruk jaata hoon
ta na be-kaif gham-e-doori-e-manziel ho jaaye
tujh ko apni hi qasam ye to bata de mujh ko
kya ye mumkin hai kabhi tu mujhe haasil ho jaaye
haaye us waqt dil-e-zaar ka aalam kya ho
gar mohabbat hi mohabbat ke muqaabil ho jaaye
feeka feeka hai meri bazm-e-mohabbat ka charaagh
tum jo aa jaao to kuchh raunaq-e-mehfil ho jaaye
teri nazrein jo zara mujh pe karam farmaayein
teri nazaron ki qasam phir yahi dil dil ho jaaye
hosh us ke hain ye jaam us ka hai tu hai us ka
may-kade mein tire jo shakhs bhi ghaafil ho jaaye
fitnagar shauq se bahzaad ko kar de paamaal
is se taskin-e-dili gar tujhe haasil ho jaaye
यूँ तो जो चाहे यहाँ साहब-ए-महफ़िल हो जाए
बज़्म उस शख़्स की है तू जिसे हासिल हो जाए
नाख़ुदा ऐ मिरी कश्ती के चलाने वाले
लुत्फ़ तो जब है कि हर मौज ही साहिल हो जाए
इस लिए चल के हर इक गाम पे रुक जाता हूँ
ता न बे-कैफ़ ग़म-ए-दूरी-ए-मंज़िल हो जाए
तुझ को अपनी ही क़सम ये तो बता दे मुझ को
क्या ये मुमकिन है कभी तू मुझे हासिल हो जाए
हाए उस वक़्त दिल-ए-ज़ार का आलम क्या हो
गर मोहब्बत ही मोहब्बत के मुक़ाबिल हो जाए
फीका फीका है मिरी बज़्म-ए-मोहब्बत का चराग़
तुम जो आ जाओ तो कुछ रौनक़-ए-महफ़िल हो जाए
तेरी नज़रें जो ज़रा मुझ पे करम फ़रमाएँ
तेरी नज़रों की क़सम फिर यही दिल दिल हो जाए
होश उस के हैं ये जाम उस का है तू है उस का
मय-कदे में तिरे जो शख़्स भी ग़ाफ़िल हो जाए
फ़ित्नागर शौक़ से 'बहज़ाद' को कर दे पामाल
इस से तस्कीन-ए-दिली गर तुझे हासिल हो जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Behzad Lakhnavi
our suggestion based on Behzad Lakhnavi
As you were reading Maikashi Shayari Shayari