hai khird-mandi yahi ba-hosh deewaana rahe | है ख़िरद-मंदी यही बा-होश दीवाना रहे - Behzad Lakhnavi

hai khird-mandi yahi ba-hosh deewaana rahe
hai wahi apna ki jo apne se begaana rahe

kufr se ye iltijaaein kar raha hoon baar baar
jaaun to ka'ba magar rukh soo-e-may-khaana rahe

sham-e-sozaan kuchh khabar bhi hai tujhe o mast-e-gham
husn-e-mahfil hai jabhi jab tak ki parwaana rahe

zakhm-e-dil ai zakhm-e-dil naasoor kyun banta nahin
lutf to jab hai ki afsaane mein afsaana rahe

ham ko waiz ka bhi dil rakhna hai saaqi ka bhi dil
ham to tauba kar ke bhi paaband-e-may-khaana rahe

aakhirsh kab tak raheingi husn ki naadaaniyaan
husn se poocho ki kab tak ishq deewaana rahe

faiz-e-raah-e-ishq hai ya faiz-e-jazb-e-ishq hai
ham to manzil pa ke bhi manzil se begaana rahe

may-kade mein ham duaaein kar rahe hain baar baar
is taraf bhi chashm-e-mast-e-peer-e-may-khaana rahe

aaj to saaqi se ye bahzaad ne baandha hai ahad
lab pe tauba ho magar haathon mein paimaana rahe

है ख़िरद-मंदी यही बा-होश दीवाना रहे
है वही अपना कि जो अपने से बेगाना रहे

कुफ़्र से ये इल्तिजाएँ कर रहा हूँ बार बार
जाऊँ तो का'बा मगर रुख़ सू-ए-मय-ख़ाना रहे

शम-ए-सोज़ाँ कुछ ख़बर भी है तुझे ओ मस्त-ए-ग़म
हुस्न-ए-महफ़िल है जभी जब तक कि परवाना रहे

ज़ख़्म-ए-दिल ऐ ज़ख़्म-ए-दिल नासूर क्यूँ बनता नहीं
लुत्फ़ तो जब है कि अफ़्साने में अफ़्साना रहे

हम को वाइज़ का भी दिल रखना है साक़ी का भी दिल
हम तो तौबा कर के भी पाबंद-ए-मय-ख़ाना रहे

आख़िरश कब तक रहेंगी हुस्न की नादानियाँ
हुस्न से पूछो कि कब तक इश्क़ दीवाना रहे

फ़ैज़-ए-राह-ए-इश्क़ है या फ़ैज़-ए-जज़्ब-ए-इश्क़ है
हम तो मंज़िल पा के भी मंज़िल से बेगाना रहे

मय-कदे में हम दुआएँ कर रहे हैं बार बार
इस तरफ़ भी चश्म-ए-मस्त-ए-पीर-ए-मय-ख़ाना रहे

आज तो साक़ी से ये 'बहज़ाद' ने बाँधा है अहद
लब पे तौबा हो मगर हाथों में पैमाना रहे

- Behzad Lakhnavi
0 Likes

Husn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Behzad Lakhnavi

As you were reading Shayari by Behzad Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Behzad Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Husn Shayari Shayari