aap ka e'tibaar kaun kare | आप का ए'तिबार कौन करे

  - Dagh Dehlvi

aap ka e'tibaar kaun kare
roz ka intizaar kaun kare

zikr-e-mehr-o-wafa to ham karte
par tumhein sharmasaar kaun kare

ho jo us chashm-e-mast se be-khud
phir use hoshiyaar kaun kare

tum to ho jaan ik zamaane ki
jaan tum par nisaar kaun kare

aafat-e-rozgaar jab tum ho
shikwa-e-rozgaar kaun kare

apni tasbeeh rahne de zaahid
daana daana shumaar kaun kare

hijr mein zahar kha ke mar jaaun
maut ka intizaar kaun kare

aankh hai tark-e-zulf hai sayyaad
dekhen dil ka shikaar kaun kare

wa'da karte nahin ye kahte hain
tujh ko ummeed-waar kaun kare

daagh ki shakl dekh kar bole
aisi soorat ko pyaar kaun kare

आप का ए'तिबार कौन करे
रोज़ का इंतिज़ार कौन करे

ज़िक्र-ए-मेहर-ओ-वफ़ा तो हम करते
पर तुम्हें शर्मसार कौन करे

हो जो उस चश्म-ए-मस्त से बे-ख़ुद
फिर उसे होशियार कौन करे

तुम तो हो जान इक ज़माने की
जान तुम पर निसार कौन करे

आफ़त-ए-रोज़गार जब तुम हो
शिकवा-ए-रोज़गार कौन करे

अपनी तस्बीह रहने दे ज़ाहिद
दाना दाना शुमार कौन करे

हिज्र में ज़हर खा के मर जाऊँ
मौत का इंतिज़ार कौन करे

आँख है तर्क-ए-ज़ुल्फ़ है सय्याद
देखें दिल का शिकार कौन करे

वा'दा करते नहीं ये कहते हैं
तुझ को उम्मीद-वार कौन करे

'दाग़' की शक्ल देख कर बोले
ऐसी सूरत को प्यार कौन करे

  - Dagh Dehlvi

Hadsa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Hadsa Shayari Shayari