khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya | ख़ातिर से या लिहाज़ से मैं मान तो गया

  - Dagh Dehlvi

khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya
jhooti qasam se aap ka eimaan to gaya

dil le ke muft kahte hain kuchh kaam ka nahin
ulti shikaayaten hui ehsaan to gaya

darta hoon dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main
sunsaan ghar ye kyun na ho mehmaan to gaya

kya aaye raahat aayi jo kunj-e-mazaar mein
vo valvala vo shauq vo armaan to gaya

dekha hai but-kade mein jo ai shaikh kuchh na pooch
eimaan ki to ye hai ki eimaan to gaya

ifsha-e-raaz-e-ishq mein go zillatein hui
lekin use jata to diya jaan to gaya

go nama-bar se khush na hua par hazaar shukr
mujh ko vo mere naam se pehchaan to gaya

bazm-e-aduu mein soorat-e-parwaana dil mera
go rashk se jala tire qurbaan to gaya

hosh o hawas o taab o tavaan daagh ja chuke
ab ham bhi jaane waale hain samaan to gaya

ख़ातिर से या लिहाज़ से मैं मान तो गया
झूटी क़सम से आप का ईमान तो गया

दिल ले के मुफ़्त कहते हैं कुछ काम का नहीं
उल्टी शिकायतें हुईं एहसान तो गया

डरता हूँ देख कर दिल-ए-बे-आरज़ू को मैं
सुनसान घर ये क्यूँ न हो मेहमान तो गया

क्या आए राहत आई जो कुंज-ए-मज़ार में
वो वलवला वो शौक़ वो अरमान तो गया

देखा है बुत-कदे में जो ऐ शैख़ कुछ न पूछ
ईमान की तो ये है कि ईमान तो गया

इफ़्शा-ए-राज़-ए-इश्क़ में गो ज़िल्लतें हुईं
लेकिन उसे जता तो दिया जान तो गया

गो नामा-बर से ख़ुश न हुआ पर हज़ार शुक्र
मुझ को वो मेरे नाम से पहचान तो गया

बज़्म-ए-अदू में सूरत-ए-परवाना दिल मिरा
गो रश्क से जला तिरे क़ुर्बान तो गया

होश ओ हवास ओ ताब ओ तवाँ 'दाग़' जा चुके
अब हम भी जाने वाले हैं सामान तो गया

  - Dagh Dehlvi

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari