jahaan mein daur ik aisa chalaaya jaaye
kisi girte hue ko ab uthaya jaaye
banega gyaan ke deepak se man mandir
tamas ko is diwali gar mitaaya jaaye
yaqeenan raam bas jaaenge har dil mein
ana roopi agar raavan jalaya jaaye
adavat ke nashe mein kho chuke hain jo
muhabbat ka pata unko bataaya jaaye
lage dooje ka gham bhi apne gham jaisa
daya ka bhaav is had tak jagaaya jaaye
pataakhe bechte bachchon ke haathon mein
kitaabon ka naya bundle thamaaya jaaye
yahaan aathon pahar ho eid ka maahol
dhara pe shehar ik dilbar basaaya jaaye
जहाँ में दौर इक ऐसा चलाया जाए
किसी गिरते हुए को अब उठाया जाए
बनेगा ज्ञान के दीपक से मन मंदिर
तमस को इस दिवाली गर मिटाया जाए
यक़ीनन राम बस जाऍंगे हर दिल में
अना रूपी अगर रावण जलाया जाए
अदावत के नशे में खो चुके हैं जो
मुहब्बत का पता उनको बताया जाए
लगे दूजे का ग़म भी अपने ग़म जैसा
दया का भाव इस हद तक जगाया जाए
पटाखे बेचते बच्चों के हाथों में
किताबों का नया बंडल थमाया जाए
यहाॅं आठों पहर हो ईद का माहौल
धरा पे शहर इक दिलबर बसाया जाए
As you were reading Shayari by DILBAR
our suggestion based on DILBAR
As you were reading undefined Shayari