kiya mujh pe hai ye ehsaan maula
diya jo ye ilaahi gyaan maula
tha jis bhi kaam se aaya jahaan mein
bashar us kaam se anjaan maula
jagaakar ishq aadam ke bhi man mein
banata hai use insaan maula
teri har ramz ko main maan paau
ata kar mujhko vo vardaan maula
zara sii bhi na jismein kaamna ho
karoon seva laga jee jaan maula
bhanwar mein bhi use mil jaaye manzil
tu jis kashti ka ho kaptaan maula
haqeeqat chhod mujhse khwaab mein bhi
kisi ka bhi na ho apmaan maula
tere rahm-o-karam se aaj dilbar
mili har qaid se gufraan maula
किया मुझ पे है ये एहसान मौला
दिया जो ये इलाही ज्ञान मौला
था जिस भी काम से आया जहाँ में
बशर उस काम से अनजान मौला
जगाकर इश्क़ आदम के भी मन में
बनाता है उसे इंसान मौला
तेरी हर रम्ज़ को मैं मान पाऊँ
अता कर मुझको वो वरदान मौला
ज़रा सी भी न जिसमें कामना हो
करूँ सेवा लगा जी जान मौला
भँवर में भी उसे मिल जाए मंज़िल
तू जिस कश्ती का हो कप्तान मौला
हक़ीक़त छोड़ मुझसे ख़्वाब में भी
किसी का भी न हो अपमान मौला
तेरे रहम-ओ-करम से आज 'दिलबर'
मिली हर क़ैद से गुफ़रान मौला
As you were reading Shayari by DILBAR
our suggestion based on DILBAR
As you were reading undefined Shayari