ye sabab dil tootne ka ab bhulaana hai mujhe | ये सबब दिल टूटने का अब भुलाना है मुझे

  - Divyansh Rawat

ye sabab dil tootne ka ab bhulaana hai mujhe
phir se tere zakhm par marham lagana hai mujhe

kuchh nahin hai tu mera par ik tamannaa hai meri
koii pooche to tujhe apna bataana hai mujhe

shaam dhalti hi milo kuchh baat karne hai yahan
apne dil ka haal bhi tujhko sunaana hai mujhe

maut ka to raasta khud dekhta hoon main magar
ye adhoora ishq poora karke jaana hai mujhe

main sabhi ko ab dila doonga wafa par bhi yakeen
be-wafa se bhi wafa karke dikhaana hai mujhe

haath mera thaam lo yun hi dikhaane ke liye
ab yahan par bas kisi ka dil jalana hai mujhe

ये सबब दिल टूटने का अब भुलाना है मुझे
फिर से तेरे ज़ख़्म पर मरहम लगाना है मुझे

कुछ नहीं है तू मिरा पर इक तमन्ना है मिरी
कोई पूछे तो तुझे अपना बताना है मुझे

शाम ढलते ही मिलो कुछ बात करनी है यहाँ
अपने दिल का हाल भी तुझको सुनाना है मुझे

मौत का तो रास्ता ख़ुद देखता हूँ मैं मगर
ये अधूरा इश्क़ पूरा करके जाना है मुझे

मैं सभी को अब दिला दूँगा वफ़ा पर भी यकीं
बे-वफ़ा से भी वफ़ा करके दिखाना है मुझे

हाथ मेरा थाम लो यूँ ही दिखाने के लिए
अब यहाँ पर बस किसी का दिल जलाना है मुझे

  - Divyansh Rawat

More by Divyansh Rawat

As you were reading Shayari by Divyansh Rawat

Similar Writers

our suggestion based on Divyansh Rawat

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari