jab reetile ho jaate hain | जब रेतीले हो जाते हैं

  - Fahmi Badayuni

jab reetile ho jaate hain
parvat teele ho jaate hain

tode jaate hain jo sheeshe
vo nokiile ho jaate hain

baagh dhuen mein rehta hai to
fal zahreeli ho jaate hain

naadaari mein aaghoshon ke
bandhan dhīle ho jaate hain

phoolon ko surkhi dene mein
patte peele ho jaate hain

जब रेतीले हो जाते हैं
पर्वत टीले हो जाते हैं

तोड़े जाते हैं जो शीशे
वो नोकीले हो जाते हैं

बाग़ धुएँ में रहता है तो
फल ज़हरीले हो जाते हैं

नादारी में आग़ोशों के
बंधन ढीले हो जाते हैं

फूलों को सुर्ख़ी देने में
पत्ते पीले हो जाते हैं

  - Fahmi Badayuni

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fahmi Badayuni

As you were reading Shayari by Fahmi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Fahmi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari