aankhon mein jo baat ho gai hai | आँखों में जो बात हो गई है - Firaq Gorakhpuri

aankhon mein jo baat ho gai hai
ik sharh-e-hayaat ho gai hai

jab dil ki wafaat ho gai hai
har cheez ki raat ho gai hai

gham se chhut kar ye gham hai mujh ko
kyun gham se najaat ho gai hai

muddat se khabar mili na dil ki
shaayad koi baat ho gai hai

jis shay pe nazar padi hai teri
tasveer-e-hayaat ho gai hai

ab ho mujhe dekhiye kahaan subh
un zulfon mein raat ho gai hai

dil mein tujh se thi jo shikaayat
ab gham ke nikaat ho gai hai

iqraar-e-gunah-e-ishq sun lo
mujh se ik baat ho gai hai

jo cheez bhi mujh ko haath aayi
teri sougaat ho gai hai

kya jaaniye maut pehle kya thi
ab meri hayaat ho gai hai

ghatte ghatte tiri inaayat
meri auqaat ho gai hai

us chashm-e-siyah ki yaad yaksar
shaam-e-zulmaat ho gai hai

is daur mein zindagi bashar ki
beemaar ki raat ho gai hai

jeeti hui baazi-e-mohabbat
khela hoon to maat ho gai hai

mitne lagin zindagi ki qadren
jab gham se najaat ho gai hai

vo chahein to waqt bhi badal jaaye
jab aaye hain raat ho gai hai

duniya hai kitni be-thikaana
aashiq ki baraat ho gai hai

pehle vo nigaah ik kiran thi
ab barq-sifaat ho gai hai

jis cheez ko choo diya hai tu ne
ik barg-e-nabaat ho gai hai

ikka-dukka sada-e-zanjeer
zindaan mein raat ho gai hai

ek ek sifat firaq us ki
dekha hai to zaat ho gai hai

आँखों में जो बात हो गई है
इक शरह-ए-हयात हो गई है

जब दिल की वफ़ात हो गई है
हर चीज़ की रात हो गई है

ग़म से छुट कर ये ग़म है मुझ को
क्यूँ ग़म से नजात हो गई है

मुद्दत से ख़बर मिली न दिल की
शायद कोई बात हो गई है

जिस शय पे नज़र पड़ी है तेरी
तस्वीर-ए-हयात हो गई है

अब हो मुझे देखिए कहाँ सुब्ह
उन ज़ुल्फ़ों में रात हो गई है

दिल में तुझ से थी जो शिकायत
अब ग़म के निकात हो गई है

इक़रार-ए-गुनाह-ए-इश्क़ सुन लो
मुझ से इक बात हो गई है

जो चीज़ भी मुझ को हाथ आई
तेरी सौग़ात हो गई है

क्या जानिए मौत पहले क्या थी
अब मेरी हयात हो गई है

घटते घटते तिरी इनायत
मेरी औक़ात हो गई है

उस चश्म-ए-सियह की याद यकसर
शाम-ए-ज़ुल्मात हो गई है

इस दौर में ज़िंदगी बशर की
बीमार की रात हो गई है

जीती हुई बाज़ी-ए-मोहब्बत
खेला हूँ तो मात हो गई है

मिटने लगीं ज़िंदगी की क़द्रें
जब ग़म से नजात हो गई है

वो चाहें तो वक़्त भी बदल जाए
जब आए हैं रात हो गई है

दुनिया है कितनी बे-ठिकाना
आशिक़ की बरात हो गई है

पहले वो निगाह इक किरन थी
अब बर्क़-सिफ़ात हो गई है

जिस चीज़ को छू दिया है तू ने
इक बर्ग-ए-नबात हो गई है

इक्का-दुक्का सदा-ए-ज़ंजीर
ज़िंदाँ में रात हो गई है

एक एक सिफ़त 'फ़िराक़' उस की
देखा है तो ज़ात हो गई है

- Firaq Gorakhpuri
1 Like

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Firaq Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Firaq Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Firaq Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari