kisi ka yun to hua kaun umr bhar phir bhi | किसी का यूँ तो हुआ कौन उम्र भर फिर भी

  - Firaq Gorakhpuri

kisi ka yun to hua kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhoka hai sab magar phir bhi

hazaar baar zamaana idhar se guzra hai
nayi nayi si hai kuchh teri raahguzaar phir bhi

kahoon ye kaise idhar dekh ya na dekh udhar
ki dard dard hai phir bhi nazar nazar phir bhi

khusa ishaara-e-paiham zahe sukoot-e-nazar
daraaz ho ke fasana hai mukhtasar phir bhi

jhapak rahi hain zamaan o makaan ki bhi aankhen
magar hai qaafila aamada-e-safar phir bhi

shab-e-firaq se aage hai aaj meri nazar
ki kat hi jaayegi ye shaam-e-be-sehr phir bhi

kahi yahi to nahin kaashif-e-hayaat-o-mamaat
ye husn o ishq b-zaahir hain be-khabar phir bhi

palat rahe hain ghareeb-ul-watan palatna tha
vo koocha roo-kash-e-jannat ho ghar hai ghar phir bhi

luta hua chaman-e-ishq hai nigaahon ko
dikha gaya wahi kya kya gul o samar phir bhi

kharab ho ke bhi socha kiye tire mahjoor
yahi ki teri nazar hai tiri nazar phir bhi

ho be-niyaaz-e-asar bhi kabhi tiri mitti
vo keemiya hi sahi rah gai kasar phir bhi

lipt gaya tira deewaana garche manzil se
udri udri si hai ye khaak-e-rahguzar phir bhi

tiri nigaah se bachne mein umr guzri hai
utar gaya rag-e-jaan mein ye neshtar phir bhi

gham-e-firaq ke kushto'n ka hashr kya hoga
ye shaam-e-hijr to ho jaayegi sehar phir bhi

fana bhi ho ke giraa-baari-e-hayaat na pooch
uthaaye uth nahin saka ye dard-e-sar phir bhi

sitam ke rang hain har iltifaat-e-pinhaan mein
karam-numa hain tire jor sar-b-sar phir bhi

khata-muaaf tira afw bhi hai misl-e-saza
tiri saza mein hai ik shaan-e-dar-guzar phir bhi

agarche be-khudi-e-ishq ko zamaana hua
firaq karti rahi kaam vo nazar phir bhi

किसी का यूँ तो हुआ कौन उम्र भर फिर भी
ये हुस्न ओ इश्क़ तो धोका है सब मगर फिर भी

हज़ार बार ज़माना इधर से गुज़रा है
नई नई सी है कुछ तेरी रहगुज़र फिर भी

कहूँ ये कैसे इधर देख या न देख उधर
कि दर्द दर्द है फिर भी नज़र नज़र फिर भी

ख़ुशा इशारा-ए-पैहम ज़हे सुकूत-ए-नज़र
दराज़ हो के फ़साना है मुख़्तसर फिर भी

झपक रही हैं ज़मान ओ मकाँ की भी आँखें
मगर है क़ाफ़िला आमादा-ए-सफ़र फिर भी

शब-ए-फ़िराक़ से आगे है आज मेरी नज़र
कि कट ही जाएगी ये शाम-ए-बे-सहर फिर भी

कहीं यही तो नहीं काशिफ़-ए-हयात-ओ-ममात
ये हुस्न ओ इश्क़ ब-ज़ाहिर हैं बे-ख़बर फिर भी

पलट रहे हैं ग़रीब-उल-वतन पलटना था
वो कूचा रू-कश-ए-जन्नत हो घर है घर फिर भी

लुटा हुआ चमन-ए-इश्क़ है निगाहों को
दिखा गया वही क्या क्या गुल ओ समर फिर भी

ख़राब हो के भी सोचा किए तिरे महजूर
यही कि तेरी नज़र है तिरी नज़र फिर भी

हो बे-नियाज़-ए-असर भी कभी तिरी मिट्टी
वो कीमिया ही सही रह गई कसर फिर भी

लिपट गया तिरा दीवाना गरचे मंज़िल से
उड़ी उड़ी सी है ये ख़ाक-ए-रहगुज़र फिर भी

तिरी निगाह से बचने में उम्र गुज़री है
उतर गया रग-ए-जाँ में ये नेश्तर फिर भी

ग़म-ए-फ़िराक़ के कुश्तों का हश्र क्या होगा
ये शाम-ए-हिज्र तो हो जाएगी सहर फिर भी

फ़ना भी हो के गिराँ-बारी-ए-हयात न पूछ
उठाए उठ नहीं सकता ये दर्द-ए-सर फिर भी

सितम के रंग हैं हर इल्तिफ़ात-ए-पिन्हाँ में
करम-नुमा हैं तिरे जौर सर-ब-सर फिर भी

ख़ता-मुआफ़ तिरा अफ़्व भी है मिस्ल-ए-सज़ा
तिरी सज़ा में है इक शान-ए-दर-गुज़र फिर भी

अगरचे बे-ख़ुदी-ए-इश्क़ को ज़माना हुआ
'फ़िराक़' करती रही काम वो नज़र फिर भी

  - Firaq Gorakhpuri

Diversity Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Firaq Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Firaq Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Firaq Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Diversity Shayari Shayari