haath aaye to wahi daaman-e-jaanaan ho jaaye | हाथ आए तो वही दामन-ए-जानाँ हो जाए - Firaq Gorakhpuri

haath aaye to wahi daaman-e-jaanaan ho jaaye
chhoot jaaye to wahi apna garebaan ho jaaye

ishq ab bhi hai vo mehram-e-be-gaana-numa
husn yun laakh chhupe laakh numayaan ho jaaye

hosh-o-ghaflat se bahut door hai kaifiyyat-e-ishq
us ki har be-khabri manzil-e-irfaan ho jaaye

yaad aati hai jab apni to tadap jaata hoon
meri hasti tira bhoola hawa paimaan ho jaaye

aankh vo hai jo tiri jalwa-gah-e-naaz bane
dil wahi hai jo saraapa tira armaan ho jaaye

paak-baazaan-e-mohabbat mein jo bebaki hai
husn gar us ko samajh le to pashemaan ho jaaye

sahal ho kar hui dushwaar mohabbat teri
use mushkil jo bana len to kuch aasaan ho jaaye

ishq phir ishq hai jis roop mein jis bhes mein ho
ishrat-e-wasl bane ya gham-e-hijraan ho jaaye

kuch mudaava bhi ho majrooh dilon ka ai dost
marham-e-zakhm tira jaur-pashemaan ho jaaye

ye bhi sach hai koi ulfat mein pareshaan kyun ho
ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshaan ho jaaye

ishq ko arz-e-tamanna mein bhi laakhon pas-o-pesh
husn ke vaaste inkaar bhi aasaan ho jaaye

jhilmilaati hai sar-e-bazm-e-jahaan sham-e-khudi
jo ye bujh jaaye charaagh-e-rah-e-irfaan ho jaaye

sar-e-shooreeda diya dasht-o-bayaabaan bhi diye
ye meri khoobi-e-qismat ki vo zindaan ho jaaye

uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai firaq
kabhi la-hal kabhi mushkil kabhi aasaan ho jaaye

हाथ आए तो वही दामन-ए-जानाँ हो जाए
छूट जाए तो वही अपना गरेबाँ हो जाए

इश्क़ अब भी है वो महरम-ए-बे-गाना-नुमा
हुस्न यूँ लाख छुपे लाख नुमायाँ हो जाए

होश-ओ-ग़फ़लत से बहुत दूर है कैफ़िय्यत-ए-इश्क़
उस की हर बे-ख़बरी मंज़िल-ए-इरफ़ाँ हो जाए

याद आती है जब अपनी तो तड़प जाता हूँ
मेरी हस्ती तिरा भूला हवा पैमाँ हो जाए

आँख वो है जो तिरी जल्वा-गह-ए-नाज़ बने
दिल वही है जो सरापा तिरा अरमाँ हो जाए

पाक-बाज़ान-ए-मोहब्बत में जो बेबाकी है
हुस्न गर उस को समझ ले तो पशेमाँ हो जाए

सहल हो कर हुइ दुश्वार मोहब्बत तेरी
उसे मुश्किल जो बना लें तो कुछ आसाँ हो जाए

इश्क़ फिर इश्क़ है जिस रूप में जिस भेस में हो
इशरत-ए-वस्ल बने या ग़म-ए-हिज्राँ हो जाए

कुछ मुदावा भी हो मजरूह दिलों का ऐ दोस्त
मरहम-ए-ज़ख़्म तिरा जौर-पशेमाँ हो जाए

ये भी सच है कोई उल्फ़त में परेशाँ क्यूँ हो
ये भी सच है कोई क्यूँकर न परेशाँ हो जाए

इश्क़ को अर्ज़-ए-तमन्ना में भी लाखों पस-ओ-पेश
हुस्न के वास्ते इंकार भी आसाँ हो जाए

झिलमिलाती है सर-ए-बज़्म-ए-जहाँ शम-ए-ख़ुदी
जो ये बुझ जाए चराग़-ए-रह-ए-इरफाँ हो जाए

सर-ए-शोरीदा दिया दश्त-ओ-बयाबाँ भी दिए
ये मिरी ख़ूबी-ए-क़िस्मत कि वो ज़िंदाँ हो जाए

उक़्दा-ए-इश्क़ अजब उक़्दा-ए-मोहमल है 'फ़िराक़'
कभी ला-हल कभी मुश्किल कभी आसाँ हो जाए

- Firaq Gorakhpuri
0 Likes

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Firaq Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Firaq Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Firaq Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari