tez ehsaas-e-khudi darkaar hai | तेज़ एहसास-ए-ख़ुदी दरकार है - Firaq Gorakhpuri

tez ehsaas-e-khudi darkaar hai
zindagi ko zindagi darkaar hai

jo chadha jaaye khumistaan-e-jahaan
haan wahi lab-tishnagi darkaar hai

devataaon ka khuda se hoga kaam
aadmi ko aadmi darkaar hai

sau gulistaan jis udaasi par nisaar
mujh ko vo afsurdagi darkaar hai

shaayeri hai sar-basar tahzeeb-e-qalb
us ko gham shaistagi darkaar hai

shola mein laata hai jo soz-o-gudaaz
vo khuloos-e-baatani darkaar hai

khoobi-e-lafz-o-bayaan se kuchh siva
shaayeri ko sahiri darkaar hai

qadir-e-mutlaq ko bhi insaan ki
sunte hain be-chaargi darkaar hai

aur honge taalib-e-madah-e-jahaan
mujh ko bas teri khushi darkaar hai

aql mein yun to nahin koi kami
ik zara deewaangi darkaar hai

hosh waalon ko bhi meri raay mein
ek goonaa be-khudi darkaar hai

khatar-e-bisyaar-daani ki qasam
ilm mein bhi kuchh kami darkaar hai

dosto kaafi nahin chashm-e-khird
ishq ko bhi raushni darkaar hai

meri ghazalon mein haqaaiq hain faqat
aap ko to shaayeri darkaar hai

tere paas aaya hoon kehne ek baat
mujh ko teri dosti darkaar hai

main jafaon ka na karta yun gila
aaj teri na-khushi darkaar hai

us ki zulf aaraasta-pairaasta
ik zara si barhmi darkaar hai

zinda-dil tha taaza-dam tha hijr mein
aaj mujh ko be-dili darkaar hai

halka halka gesu-e-shab rang-e-yaar
mujh ko teri abtari darkaar hai

aql ne kal mere kaanon mein kaha
mujh ko teri zindagi darkaar hai

tez-rau tahzeeb-e-aalam ko firaq
ik zara aahistagi darkaar hai

तेज़ एहसास-ए-ख़ुदी दरकार है
ज़िंदगी को ज़िंदगी दरकार है

जो चढ़ा जाए ख़ुमिस्तान-ए-जहाँ
हाँ वही लब-तिश्नगी दरकार है

देवताओं का ख़ुदा से होगा काम
आदमी को आदमी दरकार है

सौ गुलिस्ताँ जिस उदासी पर निसार
मुझ को वो अफ़्सुर्दगी दरकार है

शाएरी है सर-बसर तहज़ीब-ए-क़ल्ब
उस को ग़म शाइस्तगी दरकार है

शोला में लाता है जो सोज़-ओ-गुदाज़
वो ख़ुलूस-ए-बातनी दरकार है

ख़ूबी-ए-लफ़्ज़-ओ-बयाँ से कुछ सिवा
शाएरी को साहिरी दरकार है

क़ादिर-ए-मुतलक़ को भी इंसान की
सुनते हैं बे-चारगी दरकार है

और होंगे तालिब-ए-मदह-ए-जहाँ
मुझ को बस तेरी ख़ुशी दरकार है

अक़्ल में यूँ तो नहीं कोई कमी
इक ज़रा दीवानगी दरकार है

होश वालों को भी मेरी राय में
एक गूना बे-ख़ुदी दरकार है

ख़तरा-ए-बिस्यार-दानी की क़सम
इल्म में भी कुछ कमी दरकार है

दोस्तो काफ़ी नहीं चश्म-ए-ख़िरद
इश्क़ को भी रौशनी दरकार है

मेरी ग़ज़लों में हक़ाएक़ हैं फ़क़त
आप को तो शाएरी दरकार है

तेरे पास आया हूँ कहने एक बात
मुझ को तेरी दोस्ती दरकार है

मैं जफ़ाओं का न करता यूँ गिला
आज तेरी ना-ख़ुशी दरकार है

उस की ज़ुल्फ़ आरास्ता-पैरास्ता
इक ज़रा सी बरहमी दरकार है

ज़िंदा-दिल था ताज़ा-दम था हिज्र में
आज मुझ को बे-दिली दरकार है

हल्क़ा हल्क़ा गेसु-ए-शब रंग-ए-यार
मुझ को तेरी अबतरी दरकार है

अक़्ल ने कल मेरे कानों में कहा
मुझ को तेरी ज़िंदगी दरकार है

तेज़-रौ तहज़ीब-ए-आलम को 'फ़िराक़'
इक ज़रा आहिस्तगी दरकार है

- Firaq Gorakhpuri
0 Likes

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Firaq Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Firaq Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Firaq Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari