apne gham ka mujhe kahaan gham hai | अपने ग़म का मुझे कहाँ ग़म है

  - Firaq Gorakhpuri

apne gham ka mujhe kahaan gham hai
ai ki teri khushi muqaddam hai

aag mein jo pada vo aag hua
husn-e-soz-e-nihaan mujassam hai

us ke shaitaan ko kahaan taufeeq
ishq karna gunaah-e-aadam hai

dil ke dharkon mein zor-e-zarb-e-kaleem
kis qadar is habaab mein dam hai

hai wahi ishq zinda-o-jaaved
jise aab-e-hayaat bhi sam hai

is mein thehraav ya sukoon kahaan
zindagi inqilaab-e-paiham hai

ik tadap mauj-e-tah-nasheen ki tarah
zindagi ki bina-e-mohkam hai

rahti duniya mein ishq ki duniya
naye unwaan se munazzam hai

uthne waali hai bazm maazi ki
raushni kam hai zindagi kam hai

ye bhi nazm-e-hayaat hai koi
zindagi zindagi ka maatam hai

ik mu'ammaa hai zindagi ai dost
ye bhi teri ada-e-mubaham hai

ai mohabbat tu ik azaab sahi
zindagi be tire jahannam hai

ik talaatum sa rang-o-nikhat ka
paikar-e-naaz mein dama-dam hai

firne ko hai raseeli neem-nigaah
aahu-e-naaz maail-e-raam hai

roop ke jot zer-e-pairahan
gulsitaan par rida-e-shabnam hai

mere seene se lag ke so jaao
palkein bhari hain raat bhi kam hai

aah ye mehrabaaniyaan teri
shaadmaani ki aankh pur-nam hai

narm o doshizaa kis qadr hai nigaah
har nazar daastaan-e-maryam hai

mehr-o-mah shola-ha-e-saaz-e-jamaal
jis ki jhankaar itni madhham hai

jaise uchhale junoon ki pehli shaam
is ada se vo zulf barham hai

yun bhi dil mein nahin vo pehli umang
aur teri nigaah bhi kam hai

aur kyun chhedti hai gardish-e-charkh
vo nazar phir gai ye kya kam hai

roo-kash-e-sad-hareem-e-dil hai fazaa
vo jahaan hain ajeeb aalam hai

diye jaati hai lau sada-e-'firaq
haan wahi soz-o-saaz kam kam hai

अपने ग़म का मुझे कहाँ ग़म है
ऐ कि तेरी ख़ुशी मुक़द्दम है

आग में जो पड़ा वो आग हुआ
हुस्न-ए-सोज़-ए-निहाँ मुजस्सम है

उस के शैतान को कहाँ तौफ़ीक़
इश्क़ करना गुनाह-ए-आदम है

दिल के धड़कों में ज़ोर-ए-ज़र्ब-ए-कलीम
किस क़दर इस हबाब में दम है

है वही इश्क़ ज़िंदा-ओ-जावेद
जिसे आब-ए-हयात भी सम है

इस में ठहराव या सुकून कहाँ
ज़िंदगी इंक़लाब-ए-पैहम है

इक तड़प मौज-ए-तह-नशीं की तरह
ज़िंदगी की बिना-ए-मोहकम है

रहती दुनिया में इश्क़ की दुनिया
नए उन्वान से मुनज़्ज़म है

उठने वाली है बज़्म माज़ी की
रौशनी कम है ज़िंदगी कम है

ये भी नज़्म-ए-हयात है कोई
ज़िंदगी ज़िंदगी का मातम है

इक मुअ'म्मा है ज़िंदगी ऐ दोस्त
ये भी तेरी अदा-ए-मुबहम है

ऐ मोहब्बत तू इक अज़ाब सही
ज़िंदगी बे तिरे जहन्नम है

इक तलातुम सा रंग-ओ-निकहत का
पैकर-ए-नाज़ में दमा-दम है

फिरने को है रसीली नीम-निगाह
आहू-ए-नाज़ माइल-ए-राम है

रूप के जोत ज़ेर-ए-पैराहन
गुल्सिताँ पर रिदा-ए-शबनम है

मेरे सीने से लग के सो जाओ
पलकें भारी हैं रात भी कम है

आह ये मेहरबानियाँ तेरी
शादमानी की आँख पुर-नम है

नर्म ओ दोशीज़ा किस क़द्र है निगाह
हर नज़र दास्तान-ए-मरयम है

मेहर-ओ-मह शोला-हा-ए-साज़-ए-जमाल
जिस की झंकार इतनी मद्धम है

जैसे उछले जुनूँ की पहली शाम
इस अदा से वो ज़ुल्फ़ बरहम है

यूँ भी दिल में नहीं वो पहली उमंग
और तेरी निगाह भी कम है

और क्यूँ छेड़ती है गर्दिश-ए-चर्ख़
वो नज़र फिर गई ये क्या कम है

रू-कश-ए-सद-हरीम-ए-दिल है फ़ज़ा
वो जहाँ हैं अजीब आलम है

दिए जाती है लौ सदा-ए-'फ़िराक़'
हाँ वही सोज़-ओ-साज़ कम कम है

  - Firaq Gorakhpuri

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Firaq Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Firaq Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Firaq Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari