raat bhi neend bhi kahaani bhi | रात भी नींद भी कहानी भी

  - Firaq Gorakhpuri

raat bhi neend bhi kahaani bhi
haaye kya cheez hai jawaani bhi

ek paigaam-e-zindagaani bhi
aashiqi marg-e-na-gahaani bhi

is ada ka tiri jawaab nahin
meherbaani bhi sargiraani bhi

dil ko apne bhi gham the duniya mein
kuchh balaaen theen aasmaani bhi

mansab-e-dil khushi lutaana hai
gham-e-pinhan ki paasbaani bhi

dil ko sholon se karti hai sairaab
zindagi aag bhi hai paani bhi

shaad-kaamon ko ye nahin taufeeq
dil-e-ghamgeen ki shaadmaani bhi

laakh husn-e-yaqeen se badh kar hai
un nigaahon ki bad-gumaani bhi

tangna-e-dil-e-malool mein hai
bahr-e-hasti ki be-karaani bhi

ishq-e-naakaam ki hai parchhaaien
shaadmaani bhi kaamraani bhi

dekh dil ke nigaar-khaane mein
zakham-e-pinhan ki hai nishaani bhi

khalk kya kya mujhe nahin kahti
kuchh sunoon main tiri zabaani bhi

aaye taarikh-e-ishq mein sau baar
maut ke daur-e-darmiyaani bhi

apni maasoomiyat ke parde mein
ho gai vo nazar siyaani bhi

din ko soorj-mukhi hai vo nau-gul
raat ko hai vo raat-raani bhi

dil-e-bad-naam tere baare mein
log kahte hain ik kahaani bhi

waz'a karte koi nayi duniya
ki ye duniya hui puraani bhi

dil ko aadaab-e-bandagi bhi na aaye
kar gaye log hukmraani bhi

jaur-e-kam-kam ka shukriya bas hai
aap ki itni meherbaani bhi

dil mein ik hook bhi uthi ai dost
yaad aayi tiri jawaani bhi

sar se pa tak supurdagi ki ada
ek andaaz-e-turkmaani bhi

paas rahna kisi ka raat ki raat
mehmaani bhi mezbaani bhi

ho na aks-e-jabeen-e-naaz ki hai
dil mein ik noor-e-kahkashaani bhi

zindagi ain deed-e-yaar firaq
zindagi hijr ki kahaani bhi

रात भी नींद भी कहानी भी
हाए क्या चीज़ है जवानी भी

एक पैग़ाम-ए-ज़िंदगानी भी
आशिक़ी मर्ग-ए-ना-गहानी भी

इस अदा का तिरी जवाब नहीं
मेहरबानी भी सरगिरानी भी

दिल को अपने भी ग़म थे दुनिया में
कुछ बलाएँ थीं आसमानी भी

मंसब-ए-दिल ख़ुशी लुटाना है
ग़म-ए-पिन्हाँ की पासबानी भी

दिल को शोलों से करती है सैराब
ज़िंदगी आग भी है पानी भी

शाद-कामों को ये नहीं तौफ़ीक़
दिल-ए-ग़म-गीं की शादमानी भी

लाख हुस्न-ए-यक़ीं से बढ़ कर है
उन निगाहों की बद-गुमानी भी

तंगना-ए-दिल-ए-मलूल में है
बहर-ए-हस्ती की बे-करानी भी

इश्क़-ए-नाकाम की है परछाईं
शादमानी भी कामरानी भी

देख दिल के निगार-ख़ाने में
ज़ख़्म-ए-पिन्हाँ की है निशानी भी

ख़ल्क़ क्या क्या मुझे नहीं कहती
कुछ सुनूँ मैं तिरी ज़बानी भी

आए तारीख़-ए-इश्क़ में सौ बार
मौत के दौर-ए-दरमियानी भी

अपनी मासूमियत के पर्दे में
हो गई वो नज़र सियानी भी

दिन को सूरज-मुखी है वो नौ-गुल
रात को है वो रात-रानी भी

दिल-ए-बद-नाम तेरे बारे में
लोग कहते हैं इक कहानी भी

वज़्अ' करते कोई नई दुनिया
कि ये दुनिया हुई पुरानी भी

दिल को आदाब-ए-बंदगी भी न आए
कर गए लोग हुक्मरानी भी

जौर-ए-कम-कम का शुक्रिया बस है
आप की इतनी मेहरबानी भी

दिल में इक हूक भी उठी ऐ दोस्त
याद आई तिरी जवानी भी

सर से पा तक सुपुर्दगी की अदा
एक अंदाज़-ए-तुर्कमानी भी

पास रहना किसी का रात की रात
मेहमानी भी मेज़बानी भी

हो न अक्स-ए-जबीन-ए-नाज़ कि है
दिल में इक नूर-ए-कहकशानी भी

ज़िंदगी ऐन दीद-ए-यार 'फ़िराक़'
ज़िंदगी हिज्र की कहानी भी

  - Firaq Gorakhpuri

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Firaq Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Firaq Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Firaq Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari