waqt-e-ghuroob aaj karaamaat ho gai | वक़्त-ए-ग़ुरूब आज करामात हो गई - Firaq Gorakhpuri

waqt-e-ghuroob aaj karaamaat ho gai
zulfon ko us ne khol diya raat ho gai

kal tak to us mein aisi karaamat na thi koi
vo aankh aaj qibla-e-haajaat ho gai

ai soz-e-ishq tu ne mujhe kya bana diya
meri har ek saans munaajat ho gai

ochi nigaah daal ke ik samt rakh diya
dil kya diya gareeb ki sougaat ho gai

kuch yaad aa gai thi vo zulf-e-shikan-shikan
hasti tamaam chashma-e-zulmaat ho gai

ahl-e-watan se door judaai mein yaar ki
sabr aa gaya firaq karaamaat ho gai

वक़्त-ए-ग़ुरूब आज करामात हो गई
ज़ुल्फ़ों को उस ने खोल दिया रात हो गई

कल तक तो उस में ऐसी करामत न थी कोई
वो आँख आज क़िबला-ए-हाजात हो गई

ऐ सोज़-ए-इश्क़ तू ने मुझे क्या बना दिया
मेरी हर एक साँस मुनाजात हो गई

ओछी निगाह डाल के इक सम्त रख दिया
दिल क्या दिया ग़रीब की सौग़ात हो गई

कुछ याद आ गई थी वो ज़ुल्फ़-ए-शिकन-शिकन
हस्ती तमाम चश्मा-ए-ज़ुल्मात हो गई

अहल-ए-वतन से दूर जुदाई में यार की
सब्र आ गया 'फ़िराक़' करामात हो गई

- Firaq Gorakhpuri
0 Likes

Wajood Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Firaq Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Firaq Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Firaq Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Wajood Shayari Shayari