ab daur-e-aasmaan hai na daur-e-hayaat hai | अब दौर-ए-आसमाँ है न दौर-ए-हयात है - Firaq Gorakhpuri

ab daur-e-aasmaan hai na daur-e-hayaat hai
ai dard-e-hijr tu hi bata kitni raat hai

har kaayenaat se ye alag kaayenaat hai
hairat-sara-e-ishq mein din hai na raat hai

jeena jo aa gaya to ajal bhi hayaat hai
aur yun to umr-e-khizr bhi kya be-sabaat hai

kyun intiha-e-hosh ko kahte hain be-khudi
khurshid hi ki aakhiri manzil to raat hai

hasti ko jis ne zalzala-samaan bana diya
vo dil qaraar paaye muqaddar ki baat hai

ye mushgaafiyaan hain giran tab-e-ishq par
kis ko dimaagh-e-kaavish-e-zaat-o-sifaat hai

toda hai la-makaan ki hadon ko bhi ishq ne
zindaan-e-aql teri to kya kaayenaat hai

gardoon sharaar-e-bark-e-dil-e-be-qaraar dekh
jin se ye teri taaron bhari raat raat hai

gum ho ke har jagah hain z-khud raftagaan-e-ishq
un ki bhi ahl-e-kashf-o-karaamaat zaat hai

hasti b-juz fana-e-musalsal ke kuch nahin
phir kis liye ye fikr-e-qaraar-o-sabaat hai

us jaan-e-dosti ka khuloos-e-nihaan na pooch
jis ka sitam bhi ghairat-e-sad-iltifaat hai

yun to hazaar dard se rote hain bad-naseeb
tum dil dukhaao waqt-e-museebat to baat hai

unwaan ghaflaton ke hain qurbat ho ya visaal
bas fursat-e-hayaat firaq ek raat hai

अब दौर-ए-आसमाँ है न दौर-ए-हयात है
ऐ दर्द-ए-हिज्र तू ही बता कितनी रात है

हर काएनात से ये अलग काएनात है
हैरत-सरा-ए-इश्क़ में दिन है न रात है

जीना जो आ गया तो अजल भी हयात है
और यूँ तो उम्र-ए-ख़िज़्र भी क्या बे-सबात है

क्यूँ इंतिहा-ए-होश को कहते हैं बे-ख़ुदी
ख़ुर्शीद ही की आख़िरी मंज़िल तो रात है

हस्ती को जिस ने ज़लज़ला-सामाँ बना दिया
वो दिल क़रार पाए मुक़द्दर की बात है

ये मुशगाफ़ियाँ हैं गिराँ तब-ए-इश्क़ पर
किस को दिमाग़-ए-काविश-ए-ज़ात-ओ-सिफ़ात है

तोड़ा है ला-मकाँ की हदों को भी इश्क़ ने
ज़िंदान-ए-अक़्ल तेरी तो क्या काएनात है

गर्दूं शरार-ए-बर्क़-ए-दिल-ए-बे-क़रार देख
जिन से ये तेरी तारों भरी रात रात है

गुम हो के हर जगह हैं ज़-ख़ुद रफ़्तगान-ए-इश्क़
उन की भी अहल-ए-कश्फ़-ओ-करामात ज़ात है

हस्ती ब-जुज़ फ़ना-ए-मुसलसल के कुछ नहीं
फिर किस लिए ये फ़िक्र-ए-क़रार-ओ-सबात है

उस जान-ए-दोस्ती का ख़ुलूस-ए-निहाँ न पूछ
जिस का सितम भी ग़ैरत-ए-सद-इल्तिफ़ात है

यूँ तो हज़ार दर्द से रोते हैं बद-नसीब
तुम दिल दुखाओ वक़्त-ए-मुसीबत तो बात है

उनवान ग़फ़लतों के हैं क़ुर्बत हो या विसाल
बस फ़ुर्सत-ए-हयात 'फ़िराक़' एक रात है

- Firaq Gorakhpuri
0 Likes

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Firaq Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Firaq Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Firaq Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari