samajhta hoon ki tu mujh se juda hai | समझता हूँ कि तू मुझ से जुदा है

  - Firaq Gorakhpuri

samajhta hoon ki tu mujh se juda hai
shab-e-furqat mujhe kya ho gaya hai

tira gham kya hai bas ye jaanta hoon
ki meri zindagi mujh se khafa hai

kabhi khush kar gai mujh ko tiri yaad
kabhi aankhon mein aansu aa gaya hai

hijaabo ko samajh baitha main jalwa
nigaahon ko bada dhoka hua hai

bahut door ab hai dil se yaad teri
mohabbat ka zamaana aa raha hai

na jee khush kar saka tera karam bhi
mohabbat ko bada dhoka raha hai

kabhi tadpa gaya hai dil tira gham
kabhi dil ko sahaara de gaya hai

shikaayat teri dil se karte karte
achaanak pyaar tujh par aa gaya hai

jise chauka ke tu ne fer li aankh
vo tera dard ab tak jaagta hai

jahaan hai maujzan rangeeni-e-husn
wahin dil ka kanwal lahara raha hai

gulaabi hoti jaati hain fazaayein
koi is rang se sharmaa raha hai

mohabbat tujh se thi qabl-az-mohabbat
kuchh aisa yaad mujh ko aa raha hai

juda aaghaaz se anjaam se door
mohabbat ik musalsal maajra hai

khuda-haafiz magar ab zindagi mein
faqat apna sahaara rah gaya hai

mohabbat mein firaq itna na gham kar
zamaane mein yahi hota raha hai

समझता हूँ कि तू मुझ से जुदा है
शब-ए-फ़ुर्क़त मुझे क्या हो गया है

तिरा ग़म क्या है बस ये जानता हूँ
कि मेरी ज़िंदगी मुझ से ख़फ़ा है

कभी ख़ुश कर गई मुझ को तिरी याद
कभी आँखों में आँसू आ गया है

हिजाबों को समझ बैठा मैं जल्वा
निगाहों को बड़ा धोका हुआ है

बहुत दूर अब है दिल से याद तेरी
मोहब्बत का ज़माना आ रहा है

न जी ख़ुश कर सका तेरा करम भी
मोहब्बत को बड़ा धोका रहा है

कभी तड़पा गया है दिल तिरा ग़म
कभी दिल को सहारा दे गया है

शिकायत तेरी दिल से करते करते
अचानक प्यार तुझ पर आ गया है

जिसे चौंका के तू ने फेर ली आँख
वो तेरा दर्द अब तक जागता है

जहाँ है मौजज़न रंगीनी-ए-हुस्न
वहीं दिल का कँवल लहरा रहा है

गुलाबी होती जाती हैं फ़ज़ाएँ
कोई इस रंग से शरमा रहा है

मोहब्बत तुझ से थी क़ब्ल-अज़-मोहब्बत
कुछ ऐसा याद मुझ को आ रहा है

जुदा आग़ाज़ से अंजाम से दूर
मोहब्बत इक मुसलसल माजरा है

ख़ुदा-हाफ़िज़ मगर अब ज़िंदगी में
फ़क़त अपना सहारा रह गया है

मोहब्बत में 'फ़िराक़' इतना न ग़म कर
ज़माने में यही होता रहा है

  - Firaq Gorakhpuri

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Firaq Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Firaq Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Firaq Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari