na saani jab mazaq-e-husn ko apna nazar aaya | न सानी जब मज़ाक़‌‌‌‌-ए-हुस्न को अपना नज़र आया

  - Gulzar Dehlvi

na saani jab mazaq-e-husn ko apna nazar aaya
nigaah-e-shauq tak le kar payaam-e-fitna-gar aaya

kaha la-raib badh kar ilm-o-danish ne aqeedat se
jo bazm-e-ahl-e-fan mein aaj mujh sa be-hunar aaya

sar-e-mahfil churaana mujh se daaman is ka zaamin hai
nahin aaya agar mujh tak b-andaaz-e-digar aaya

bahut ai dil tiri roodaad-e-gham ne tool kheecha hai
kabhi vo but bhi sunne ko ye qissa mukhtasar aaya

hamaari ik khata ne khuld se duniya mein la fenka
agar dar-pesh duniya se bhi phir koi safar aaya

main khud hi bewafa hoon be-adab hoon apna qaateel hoon
har ik ilzaam mere sar b-alfaaz-e-digar aaya

muqaddar kuchh fazaa gulzaar dilli mein sahi lekin
kahi ahl-e-zabaan ham sa bhi urdu mein nazar aaya

न सानी जब मज़ाक़‌‌‌‌-ए-हुस्न को अपना नज़र आया
निगाह-ए-शौक़ तक ले कर पयाम-ए-फ़ित्ना-गर आया

कहा ला-रैब बढ़ कर इल्म-ओ-दानिश ने अक़ीदत से
जो बज़्म-ए-अहल-ए-फ़न में आज मुझ सा बे-हुनर आया

सर-ए-महफ़िल चुराना मुझ से दामन इस का ज़ामिन है
नहीं आया अगर मुझ तक ब-अंदाज़-ए-दिगर आया

बहुत ऐ दिल तिरी रूदाद-ए-ग़म ने तूल खींचा है
कभी वो बुत भी सुनने को ये क़िस्सा मुख़्तसर आया

हमारी इक ख़ता ने ख़ुल्द से दुनिया में ला फेंका
अगर दर-पेश दुनिया से भी फिर कोई सफ़र आया

मैं ख़ुद ही बेवफ़ा हूँ बे-अदब हूँ अपना क़ातिल हूँ
हर इक इल्ज़ाम मेरे सर ब-अल्फ़ाज़-ए-दिगर आया

मुकद्दर कुछ फ़ज़ा 'गुलज़ार' दिल्ली में सही लेकिन
कहीं अहल-ए-ज़बाँ हम सा भी उर्दू में नज़र आया

  - Gulzar Dehlvi

Jannat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar Dehlvi

As you were reading Shayari by Gulzar Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Jannat Shayari Shayari