pehle to daam-e-zulf mein uljha liya mujhe | पहले तो दाम-ए-ज़ुल्फ़ में उलझा लिया मुझे

  - Gulzar Dehlvi

pehle to daam-e-zulf mein uljha liya mujhe
bhule se phir kabhi na dilaasa diya mujhe

kya dardnaak manzar-e-kashti tha rood mein
main na-khuda ko dekh raha tha khuda mujhe

baitha hua hai rashk-e-masiha mere qareeb
kas bebaasi se dekh rahi hai qaza mujhe

un ka bayaan meri zabaan par jo aa gaya
lehje ne un ke kar diya kya khush-nava mujhe

jin ko rahi sada mere marne ki aarzoo
jeene ki de rahe hain wahi ab dua mujhe

jaane ka waqt aaya to aayi sada-e-haq
muddat se aarzoo thi mile ham-nava mujhe

har baam-o-dar se ek ishaara hai roz-o-shab
ne main wafa ko chhod saka ne wafa mujhe

duniya ne kitne mujh ko dikhaaye hain sabz baagh
un se na koi kar saka lekin juda mujhe

khushboo se kis ki mahak rahe hain mashaam-e-jaan
daaman se de raha hai koi to hawa mujhe

tasveer us ke haath mein lab par meri ghazal
dekha na ek aankh na jis ne suna mujhe

fard-e-amal mein meri hon shaamil sab un ke jor
un ke kiye ki shauq se deeje saza mujhe

meri wafa ka un ko mile hashr mein sila
mil jaayen un ke naam ke jour-o-jafa mujhe

har roz mujh ko apna badalna pada jawaab
roz ik sabq padhaata hai qaasid naya mujhe

dekha tumhaari shakl mein husn-e-azal ki zau
sajda tumhaare dar pe hua hai rawa mujhe

jhonka koi naseem ka gulzaar'-e-naaz mein
un ka payaam kaash sunaaye saba mujhe

पहले तो दाम-ए-ज़ुल्फ़ में उलझा लिया मुझे
भूले से फिर कभी न दिलासा दिया मुझे

क्या दर्दनाक मंज़र-ए-कश्ती था रूद में
मैं ना-ख़ुदा को देख रहा था ख़ुदा मुझे

बैठा हुआ है रश्क-ए-मसीहा मिरे क़रीब
कस बेबसी से देख रही है क़ज़ा मुझे

उन का बयान मेरी ज़बाँ पर जो आ गया
लहजे ने उन के कर दिया क्या ख़ुश-नवा मुझे

जिन को रही सदा मिरे मरने की आरज़ू
जीने की दे रहे हैं वही अब दुआ मुझे

जाने का वक़्त आया तो आई सदा-ए-हक़
मुद्दत से आरज़ू थी मिले हम-नवा मुझे

हर बाम-ओ-दर से एक इशारा है रोज़-ओ-शब
ने मैं वफ़ा को छोड़ सका ने वफ़ा मुझे

दुनिया ने कितने मुझ को दिखाए हैं सब्ज़ बाग़
उन से न कोई कर सका लेकिन जुदा मुझे

ख़ुश्बू से किस की महक रहे हैं मशाम-ए-जाँ
दामन से दे रहा है कोई तो हवा मुझे

तस्वीर उस के हाथ में लब पर मिरी ग़ज़ल
देखा न एक आँख न जिस ने सुना मुझे

फ़र्द-ए-अमल में मेरी हों शामिल सब उन के जौर
उन के किए की शौक़ से दीजे सज़ा मुझे

मेरी वफ़ा का उन को मिले हश्र में सिला
मिल जाएँ उन के नाम के जौर-ओ-जफ़ा मुझे

हर रोज़ मुझ को अपना बदलना पड़ा जवाब
रोज़ इक सबक़ पढ़ाता है क़ासिद नया मुझे

देखा तुम्हारी शक्ल में हुस्न-ए-अज़ल की ज़ौ
सज्दा तुम्हारे दर पे हुआ है रवा मुझे

झोंका कोई नसीम का 'गुलज़ार'-ए-नाज़ में
उन का पयाम काश सुनाए सबा मुझे

  - Gulzar Dehlvi

DP Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar Dehlvi

As you were reading Shayari by Gulzar Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar Dehlvi

Similar Moods

As you were reading DP Shayari Shayari