un ki nazar ka lutf numayaan nahin raha | उन की नज़र का लुत्फ़ नुमायाँ नहीं रहा

  - Gulzar Dehlvi

un ki nazar ka lutf numayaan nahin raha
ham par vo iltifaat-e-nigaaraan nahin raha

dil-bastagi-o-aish ka saamaan nahin raha
khush-baashi-e-hayaat ka saamaan nahin raha

ye bhi nahin ki gul mein lataafat nahin rahi
par jannat-nigaah gulistaan nahin raha

har be-hunar se garm hai bazaar-e-siflgi
ahl-e-hunr ke vaaste maidaan nahin raha

apni zabaan apna tamaddun badal gaya
lutf-e-kalaam ab vo sukhan-daan nahin raha

kyun ab tawaaf-e-koo-e-malaamat se hai gurez
kya vo junoon-e-koocha-e-jaanaan nahin raha

seekha hai haadsaat-e-zamaana se khelna
ham ko hiraas-e-mauja-e-toofaan nahin raha

har bait jis ke faiz se bait-ul-ghazal bane
ab vo surur-e-chashm-e-ghazaalaan nahin raha

deewaangi-e-shauq ke qurbaan jaaie
ab imtiyaaz-e-jeb-o-garebaan nahin raha

peer-e-mugaan ki bait-e-kaamil ke faiz se
ab shaikh naam ka bhi musalmaan nahin raha

un ki nigaah-e-naaz ka ye iltifaat hai
charagaron ka zeest par ehsaan nahin raha

kya haal hai tumhaara azeezaan-e-lakhnau
tahzeeb-e-ahl-e-dilli ka pursaan nahin raha

har shay hai is jahaan mein lekin khuda-gawah
gulzaar is dayaar mein insaan nahin raha

उन की नज़र का लुत्फ़ नुमायाँ नहीं रहा
हम पर वो इल्तिफ़ात-ए-निगाराँ नहीं रहा

दिल-बस्तगी-ओ-ऐश का सामाँ नहीं रहा
ख़ुश-बाशी-ए-हयात का सामाँ नहीं रहा

ये भी नहीं कि गुल में लताफ़त नहीं रही
पर जन्नत-निगाह गुलिस्ताँ नहीं रहा

हर बे-हुनर से गर्म है बाज़ार‌‌‌‌-ए-सिफ़लगी
अहल-ए-हुनर के वास्ते मैदाँ नहीं रहा

अपनी ज़बान अपना तमद्दुन बदल गया
लुत्फ़-ए-कलाम अब वो सुख़न-दाँ नहीं रहा

क्यूँ अब तवाफ़-ए-कू-ए-मलामत से है गुरेज़
क्या वो जुनून-ए-कूचा-ए-जानाँ नहीं रहा

सीखा है हादसात-ए-ज़माना से खेलना
हम को हिरास-ए-मौजा-ए-तूफ़ाँ नहीं रहा

हर बैत जिस के फ़ैज़ से बैत-उल-ग़ज़ल बने
अब वो सुरूर-ए-चश्म-ए-ग़ज़ालाँ नहीं रहा

दीवानगी-ए-शौक़ के क़ुर्बान जाइए
अब इमतियाज़-ए-जेब-ओ-गरेबाँ नहीं रहा

पीर-ए-मुग़ाँ की बैअत-ए-कामिल के फ़ैज़ से
अब शैख़ नाम का भी मुसलमाँ नहीं रहा

उन की निगाह-ए-नाज़ का ये इल्तिफ़ात है
चारागरों का ज़ीस्त पर एहसाँ नहीं रहा

क्या हाल है तुम्हारा अज़ीज़ान-ए-लखनऊ
तहज़ीब-ए-अहल-ए-दिल्ली का पुरसाँ नहीं रहा

हर शय है इस जहान में लेकिन ख़ुदा-गवाह
'गुलज़ार' इस दयार में इंसाँ नहीं रहा

  - Gulzar Dehlvi

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar Dehlvi

As you were reading Shayari by Gulzar Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari