bitha ke dil mein giraaya gaya nazar se mujhe | बिठा के दिल में गिराया गया नज़र से मुझे

  - Gulzar Dehlvi

bitha ke dil mein giraaya gaya nazar se mujhe
dikhaaya turfa-tamasha bala ke ghar se mujhe

nazar jhuka ke uthaai thi jaise pehli baar
phir ek baar to dekho usi nazar se mujhe

hamesha bach ke chala hoon main aam raahon se
hata saka na koi meri raahguzaar se mujhe

hayaat jis ki amaanat hai saunp doon us ko
utaarna hai ye qarza bhi apne sar se mujhe

suboo na jaam na meena se may pila be-shak
pilaaye ja mere saaqi yoonhi nazar se mujhe

jo baat hoti hai dil mein vo kah guzarta hoon
nahin hai koi garz ahle-e-khair-o-shar se mujhe

na dair se na haram se na may-kade se mila
sukoon-e-rooh mila hai jo tere dar se mujhe

kisi ki raah-e-mohabbat mein badhta jaata hoon
na raahzan se garz hai na raahbar se mujhe

zara to soch hiqaarat se dekhne waale
zamaana dekh raha hai tiri nazar se mujhe

zamaana meri nazar se to gir gaya lekin
gira saka na zamaana tiri nazar se mujhe

ye rang-o-noor ka gulzaar dahr-e-faani hai
yahi payaam mila umr-e-mukhtasar se mujhe

बिठा के दिल में गिराया गया नज़र से मुझे
दिखाया तुरफ़ा-तमाशा बला के घर से मुझे

नज़र झुका के उठाई थी जैसे पहली बार
फिर एक बार तो देखो उसी नज़र से मुझे

हमेशा बच के चला हूँ मैं आम राहों से
हटा सका न कोई मेरी रहगुज़र से मुझे

हयात जिस की अमानत है सौंप दूँ उस को
उतारना है ये क़र्ज़ा भी अपने सर से मुझे

सुबू न जाम न मीना से मय पिला बे-शक
पिलाए जा मिरे साक़ी यूँही नज़र से मुझे

जो बात होती है दिल में वो कह गुज़रता हूँ
नहीं है कोई ग़रज़ अह्ले-ए-ख़ैर-ओ-शर से मुझे

न दैर से न हरम से न मय-कदे से मिला
सुकून-ए-रूह मिला है जो तेरे दर से मुझे

किसी की राह-ए-मोहब्बत में बढ़ता जाता हूँ
न राहज़न से ग़रज़ है न राहबर से मुझे

ज़रा तो सोच हिक़ारत से देखने वाले
ज़माना देख रहा है तिरी नज़र से मुझे

ज़माना मेरी नज़र से तो गिर गया लेकिन
गिरा सका न ज़माना तिरी नज़र से मुझे

ये रंग-ओ-नूर का 'गुलज़ार' दहर-ए-फ़ानी है
यही पयाम मिला उम्र-ए-मुख़्तसर से मुझे

  - Gulzar Dehlvi

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar Dehlvi

As you were reading Shayari by Gulzar Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari