zindagi raah-e-wafa mein jo mita dete hain | ज़िंदगी राह-ए-वफ़ा में जो मिटा देते हैं - Gulzar Dehlvi

zindagi raah-e-wafa mein jo mita dete hain
naqsh ulfat ka vo duniya mein jama dete hain

is tarah jurm-e-mohabbat ki saza dete hain
vo jise apna samjhte hain mita dete hain

ek jul roz hamein aap naya dete hain
waada-e-wasl ko baaton mein uda dete hain

kham-o-meena-o-suboo bazm mein aate aate
apni aankhon se kai jaam pila dete hain

husn ka koi juda to nahin hota andaaz
ishq waale unhen andaaz sikha dete hain

kosne dete hain jis waqt butaan-e-tannaaz
haath uthaaye hue ham un ko dua dete hain

mere khwaabon mein bhi aate hain adoo ke hamraah
ye wafaon ka meri aap sila dete hain

haalat-e-ghair pe yun khair se hansne waale
is tavajjoh ki bhi ham tum ko dua dete hain

shehar mein roz uda kar mere marne ki khabar
jashn vo roz raqeebon ka manaa dete hain

dair-o-ka'ba. ho kaleesa ho ki may-khaana ho
sab har ik dar pe tujhi ko to sada dete hain

ishva-o-husn-o-ada par tiri marne waale
kitne maasoom yoonhi umr ganwa dete hain

paye gul-gasht vo gul-posh jo aaye gulzaar
zindagi sabze ke maanind bichha dete hain

ज़िंदगी राह-ए-वफ़ा में जो मिटा देते हैं
नक़्श उल्फ़त का वो दुनिया में जमा देते हैं

इस तरह जुर्म-ए-मोहब्बत की सज़ा देते हैं
वो जिसे अपना समझते हैं मिटा देते हैं

एक जुल रोज़ हमें आप नया देते हैं
वादा-ए-वस्ल को बातों में उड़ा देते हैं

ख़ुम-ओ-मीना-ओ-सुबू बज़्म में आते आते
अपनी आँखों से कई जाम पिला देते हैं

हुस्न का कोई जुदा तो नहीं होता अंदाज़
इश्क़ वाले उन्हें अंदाज़ सिखा देते हैं

कोसने देते हैं जिस वक़्त बुतान-ए-तन्नाज़
हाथ उठाए हुए हम उन को दुआ देते हैं

मेरे ख़्वाबों में भी आते हैं अदू के हमराह
ये वफ़ाओं का मिरी आप सिला देते हैं

हालत-ए-ग़ैर पे यूँ ख़ैर से हँसने वाले
इस तवज्जोह की भी हम तुम को दुआ देते हैं

शहर में रोज़ उड़ा कर मिरे मरने की ख़बर
जश्न वो रोज़ रक़ीबों का मना देते हैं

दैर-ओ-का'बा हो कलीसा हो कि मय-ख़ाना हो
सब हर इक दर पे तुझी को तो सदा देते हैं

इश्वा-ओ-हुस्न-ओ-अदा पर तिरी मरने वाले
कितने मासूम यूँही उम्र गँवा देते हैं

पए गुल-गश्त वो गुल-पोश जो आए 'गुलज़ार'
ज़िंदगी सब्ज़े के मानिंद बिछा देते हैं

- Gulzar Dehlvi
0 Likes

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar Dehlvi

As you were reading Shayari by Gulzar Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari