ya mila qaum ko khud apna nigahbaan ho kar
sau tarah dekh liya ham ne pareshaan ho kar
kaafir-e-ishq hi achhe the sanam-khaanon mein
shaan-e-eimaan na mili saahib-e-eimaan ho kar
naqs-e-tanzeem se ho tark-e-chaman kya maani
ham ko rahna hai yahin taar-e-rag-e-jaan ho kar
kya hua gar koi hindu ki musalmaan thehra
aadmiyat ka nahin paas jo insaan ho kar
ham bujhen bhi to bujhen misl-e-charaagh-e-sehri
aur jo raushan hon to hon sham-e-shabistaan ho kar
dil mein ahbaab ke ham ban ke asar baithege
aur uthenge isee gulshan se bahaaraan ho kar
kya gulistaan mein naya hukm-e-zabaan-bandi hai
baagbaan bhi hua sayyaad-e-nigahbaan ho kar
sidq niyyat se agar us ki chaman-bandi ho
phir rahe kyun na watan mulk-e-sulaimaan ho kar
ab ham apne liye khud sood-o-ziyaan sochenge
ham ko jeena hi nahin banda-e-ehsaan ho kar
rashk-e-gulzaar-e-iram arz-e-watan jab hogi
apne begaane basen sumbul-o-raihaan ho kar
या मिला क़ौम को ख़ुद अपना निगहबाँ हो कर
सौ तरह देख लिया हम ने परेशाँ हो कर
काफ़िर-ए-इश्क़ ही अच्छे थे सनम-ख़ानों में
शान-ए-ईमाँ न मिली साहब-ए-ईमाँ हो कर
नक़्स-ए-तंज़ीम से हो तर्क-ए-चमन क्या मा'नी
हम को रहना है यहीं तार-ए-रग-ए-जाँ हो कर
क्या हुआ गर कोई हिन्दू कि मुसलमाँ ठहरा
आदमियत का नहीं पास जो इंसाँ हो कर
हम बुझें भी तो बुझें मिस्ल-ए-चराग़-ए-सहरी
और जो रौशन हों तो हों शम-ए-शबिस्ताँ हो कर
दिल में अहबाब के हम बन के असर बैठेंगे
और उठेंगे इसी गुलशन से बहाराँ हो कर
क्या गुलिस्ताँ में नया हुक्म-ए-ज़बाँ-बंदी है
बाग़बाँ भी हुआ सय्याद-ए-निगहबाँ हो कर
सिद्क़ निय्यत से अगर उस की चमन-बंदी हो
फिर रहे क्यूँ न वतन मुल्क-ए-सुलैमाँ हो कर
अब हम अपने लिए ख़ुद सूद-ओ-ज़ियाँ सोचेंगे
हम को जीना ही नहीं बंदा-ए-एहसाँ हो कर
रश्क-ए-गुलज़ार-ए-इरम अर्ज़-ए-वतन जब होगी
अपने बेगाने बसें सुम्बुल-ओ-रैहाँ हो कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gulzar Dehlvi
our suggestion based on Gulzar Dehlvi
As you were reading Patriotic Shayari Shayari