ham jo guzre un ki mehfil ke qareeb | हम जो गुज़रे उन की महफ़िल के क़रीब - Gulzar Dehlvi

ham jo guzre un ki mehfil ke qareeb
ik kasak si rah gai dal ke qareeb

sab ke sab baithe the qaateel ke qareeb
be-kasi thi sirf bismil ke qareeb

zindagi kya thi ajab toofaan thi
ab kahi pahunchen hain manzil ke qareeb

is qadar khud-rafta-e-sehra hue
bhool kar dekha na mahmil ke qareeb

haaye us mukhtar ki majbooriyaan
jis ne dam toda ho manzil ke qareeb

zindagi-o-maut waahid aaina
aadmi hai hadd-e-fasil ke qareeb

ye tajaahul aarifana hai janab
bhool kar jaana na ghaafil ke qareeb

tarbiyat ko husn-e-sohbat chahiye
baithiye ustaad-e-kaamil ke qareeb

hosh ki kehta hai deewaana sada
aur maayusi hai aaqil ke qareeb

dekhiye un bad-naseebon ka maal
vo jo doobe aa ke saahil ke qareeb

chhaai hai gulzaar mein fasl-e-khizaan
phool hain sab gul shamaail ke qareeb

हम जो गुज़रे उन की महफ़िल के क़रीब
इक कसक सी रह गई दल के क़रीब

सब के सब बैठे थे क़ातिल के क़रीब
बे-कसी थी सिर्फ़ बिस्मिल के क़रीब

ज़िंदगी क्या थी अजब तूफ़ान थी
अब कहीं पहुँचे हैं मंज़िल के क़रीब

इस क़दर ख़ुद-रफ़्ता-ए-सहरा हुए
भूल कर देखा न महमिल के क़रीब

हाए उस मुख़्तार की मजबूरियाँ
जिस ने दम तोड़ा हो मंज़िल के क़रीब

ज़िंदगी-ओ-मौत वाहिद आइना
आदमी है हद्द-ए-फ़ासिल के क़रीब

ये तजाहुल आरिफ़ाना है जनाब
भूल कर जाना न ग़ाफ़िल के क़रीब

तर्बियत को हुस्न-ए-सोहबत चाहिए
बैठिए उस्ताद-ए-कामिल के क़रीब

होश की कहता है दीवाना सदा
और मायूसी है आक़िल के क़रीब

देखिए उन बद-नसीबों का मआल
वो जो डूबे आ के साहिल के क़रीब

छाई है 'गुलज़ार' में फ़स्ल-ए-ख़िज़ाँ
फूल हैं सब गुल शमाइल के क़रीब

- Gulzar Dehlvi
0 Likes

Rose Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar Dehlvi

As you were reading Shayari by Gulzar Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Rose Shayari Shayari