maqsad-e-husn hai kya chashm-e-baseerat ke siva | मक़्सद-ए-हुस्न है क्या चश्म-ए-बसीरत के सिवा - Gulzar Dehlvi

maqsad-e-husn hai kya chashm-e-baseerat ke siva
vajh-e-takhleeq-e-bashar kya hai mohabbat ke siva

khoon-e-dil thookte firte hain jahaan mein sha'ir
kya mila shehar-e-sukhan mein unhen shohrat ke siva

aaj bhi ilm-o-fan-o-she'r-o-adab hain paamaal
ba-kamaalon ko mila kuchh na ihaanat ke siva

haath mein jin ke khushamad ka hai gadla kashkol
un ko e'zaaz bhi mil jaayenge izzat ke siva

raat din ranj hai is baat ka sab ko khaaliq
arsa-e-hashr mein kya laayein nadaamat ke siva

ye masheenon ki chaka-chaund ye daur-e-aalaat
is mein har cheez muqaddar hai muravvat ke siva

ghota-zan ham rahe kasrat ke samundar mein fuzool
kaun ye pyaas bujaaye tiri wahdat ke siva

kya zamaane mein diya tu ne aqeedat ka maal
ham ko ranj-o-gham-o-andoh-o-museebat ke siva

ham jo apnaayein zamaane mein tawakkul yaarab
baab khul jaayenge ham par tiri rahmat ke siva

jab utarti hon sar-e-arsh se aayat-e-junoon
kaun ho khaalik-e-asha'ar mashiyyat ke siva

kitne haatim mile gulzaar zamaane mein hamein
vo ki har cheez ke waasif the sakhaawat ke siva

मक़्सद-ए-हुस्न है क्या चश्म-ए-बसीरत के सिवा
वज्ह-ए-तख़्लीक़-ए-बशर क्या है मोहब्बत के सिवा

ख़ून-ए-दिल थूकते फिरते हैं जहाँ में शाइ'र
क्या मिला शहर-ए-सुख़न में उन्हें शोहरत के सिवा

आज भी इ'ल्म-ओ-फ़न-ओ-शे'र-ओ-अदब हैं पामाल
बा-कमालों को मिला कुछ न इहानत के सिवा

हाथ में जिन के ख़ुशामद का है गदला कश्कोल
उन को ए'ज़ाज़ भी मिल जाएँगे इज़्ज़त के सिवा

रात दिन रंज है इस बात का सब को ख़ालिक़
अर्सा-ए-हश्र में क्या लाएँ नदामत के सिवा

ये मशीनों की चका-चौंद ये दौर-ए-आलात
इस में हर चीज़ मुक़द्दर है मुरव्वत के सिवा

ग़ोता-ज़न हम रहे कसरत के समुंदर में फ़ुज़ूल
कौन ये प्यास बुझाए तिरी वहदत के सिवा

क्या ज़माने में दिया तू ने अक़ीदत का मआल
हम को रंज-ओ-ग़म-ओ-अंदोह-ओ-मुसीबत के सिवा

हम जो अपनाएँ ज़माने में तवक्कुल यारब
बाब खुल जाएँगे हम पर तिरी रहमत के सिवा

जब उतरती हों सर-ए-अर्श से आयात-ए-जुनूँ
कौन हो ख़ालिक़-ए-अशआ'र मशिय्यत के सिवा

कितने हातिम मिले 'गुलज़ार' ज़माने में हमें
वो कि हर चीज़ के वासिफ़ थे सख़ावत के सिवा

- Gulzar Dehlvi
1 Like

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar Dehlvi

As you were reading Shayari by Gulzar Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar Dehlvi

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari