us sitamgar ki meherbaani se
dil uljhta hai zindagaani se
khaak se kitni sooraten ubhri
dhul gaye naqsh kitne paani se
ham se poocho to zulm behtar hai
in haseenon ki meherbaani se
aur bhi kya qayamat aayegi
poochna hai tiri jawaani se
dil sulagta hai ashk bahte hain
aag bujhti nahin hai paani se
hasrat-e-umr-e-javedaan le kar
ja rahe hain sara-e-faani se
haaye kya daur-e-zindagi guzra
waqie ho gaye kahaani se
kitni khush-fahmiyon ke but tode
tu ne gulzaar khush-bayaani se
उस सितमगर की मेहरबानी से
दिल उलझता है ज़िंदगानी से
ख़ाक से कितनी सूरतें उभरीं
धुल गए नक़्श कितने पानी से
हम से पूछो तो ज़ुल्म बेहतर है
इन हसीनों की मेहरबानी से
और भी क्या क़यामत आएगी
पूछना है तिरी जवानी से
दिल सुलगता है अश्क बहते हैं
आग बुझती नहीं है पानी से
हसरत-ए-उम्र-ए-जावेदाँ ले कर
जा रहे हैं सरा-ए-फ़ानी से
हाए क्या दौर-ए-ज़िंदगी गुज़रा
वाक़िए हो गए कहानी से
कितनी ख़ुश-फ़हमियों के बुत तोड़े
तू ने गुलज़ार ख़ुश-बयानी से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gulzar Dehlvi
our suggestion based on Gulzar Dehlvi
As you were reading Zulm Shayari Shayari