ab to sehra mein rahenge chal ke deewaanon ke saath
dehr mein mushkil hua jeena jo farzaanon ke saath
khatm ho jaayenge qisse kal ye deewaanon ke saath
phir inhen dohraaoge tum kitne unwaanon ke saath
bazm mein ham ko bula kar aap uth kar chal diye
kya sulook-e-naarwa jaayez hai mehmaanon ke saath
nafratein faila rahe hain kaisi shaikh-o-barhaman
kya shumaar in ka karenge aap insaano ke saath
un ki aankhon ki gulaabi se jo ham makhmoor hain
ik ta'alluq hai qadeemi ham ko paimaanon ke saath
har taraf koo-e-butaan mein hasraton ka hai hujoom
ek dil laaye the ham to apna armaanon ke saath
kal talak daanaaon ki sohbat mein the sab ke imaam
aaj kaise sust hain yun shaikh nadaanon ke saath
un ki aankhen ik taraf ye jaam-o-meena ik taraf
kis tarah gardish mein hain paimaane paimaanon ke saath
aashiqon ke dil mein shab faanoos raushan ho gaye
sham'a ka jeena hai laazim apne parvaanon ke saath
haif gulzaar-e-jahaan mein gul yagaane ho gaye
lahlaha kar ab rahega sabza begaano'n ke saath
अब तो सहरा में रहेंगे चल के दीवानों के साथ
दहर में मुश्किल हुआ जीना जो फ़र्ज़ानों के साथ
ख़त्म हो जाएँगे क़िस्से कल ये दीवानों के साथ
फिर इन्हें दोहराओगे तुम कितने उनवानों के साथ
बज़्म में हम को बुला कर आप उठ कर चल दिए
क्या सुलूक-ए-नारवा जाएज़ है मेहमानों के साथ
नफ़रतें फैला रहे हैं कैसी शैख़-ओ-बरहमन
क्या शुमार इन का करेंगे आप इंसानों के साथ
उन की आँखों की गुलाबी से जो हम मख़मूर हैं
इक तअ'ल्लुक़ है क़दीमी हम को पैमानों के साथ
हर तरफ़ कू-ए-बुताँ में हसरतों का है हुजूम
एक दिल लाए थे हम तो अपना अरमानों के साथ
कल तलक दानाओं की सोहबत में थे सब के इमाम
आज कैसे सुस्त हैं यूँ शैख़ नादानों के साथ
उन की आँखें इक तरफ़ ये जाम-ओ-मीना इक तरफ़
किस तरह गर्दिश में हैं पैमाने पैमानों के साथ
आशिक़ों के दिल में शब फ़ानूस रौशन हो गए
शम्अ' का जीना है लाज़िम अपने परवानों के साथ
हैफ़ गुलज़ार-ए-जहाँ में गुल यगाने हो गए
लहलहा कर अब रहेगा सब्ज़ा बेगानों के साथ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gulzar Dehlvi
our suggestion based on Gulzar Dehlvi
As you were reading Dil Shayari Shayari