na sahi ham pe inaayat nahin paimaanon ki | न सही हम पे इनायत नहीं पैमानों की

  - Gulzar Dehlvi

na sahi ham pe inaayat nahin paimaanon ki
khidkiyaan khul gaeein aankhon se to may-khaanon ki

aa nahin saka samajh mein kabhi farzaanon ki
surkh-roo kaise jabeenen hui deewaanon ki

zulf bikhraaye sar-e-shaam pareshaan hain vo
qismaten auj pe hain chaak-garebaanon ki

dastaan kohkan-o-qais ki farsooda hui
surkhiyaan ham ne badal daali hain afsaano ki

aankhen to bheeg chuki aur na pyaar aa jaaye
aur roodaad sunen aap na deewaanon ki

may-kade aane se pehle ka zamaana tauba
khaak chaani hai haram aur sanam-khaanon ki

zakhm-e-dil ko koi marham bhi na raas aayega
har gul-e-zakhm mein lazzat hai namak-daano ki

jaane kab nikle muraadon ki dulhan ki doli
dil mein baaraat hai thehri hui armaanon ki

zakham par hanste hain ashkon ko guhar kahte hain
aql maari gai is daur mein insaano ki

kitne mumin nazar aate hain sanam-khaanon mein
ek kaafir nahin basti mein musalmaano ki

jitni tazheek tire shehar mein apnon ki hui
utni tauheen na hogi kahi begaano'n ki

raat badh badh ke jo sham'a pe hue the sadqe
subh tak khaak na dekhi gai parvaanon ki

haram-o-dair ki basti mein hai tameez-o-nafaq
koi tafreeq-e-milal dekhi na deewaanon ki

log kyun shehr-e-khamaoshaan ko khinche jaate hain
jaane kya jaan hai is basti mein be-jaano ki

rukh badalte hain dorahe pe khade hain saalar
saii-e-naakaam to dekhe koi nadaanon ki

haatha-chaanti hai ajab aur ajab loot-khasoot
niyyatein aur hain shaayad ki nigahbaano ki

pooche gulzaar se hai vo b-zabaan-e-sausan
tum kahaan bazm mein aaye ho zabaan-daano ki

न सही हम पे इनायत नहीं पैमानों की
खिड़कियाँ खुल गईं आँखों से तो मय-ख़ानों की

आ नहीं सकता समझ में कभी फ़र्ज़ानों की
सुर्ख़-रू कैसे जबीनें हुईं दीवानों की

ज़ुल्फ़ बिखराए सर-ए-शाम परेशान हैं वो
क़िस्मतें औज पे हैं चाक-गरेबानों की

दास्ताँ कोहकन-ओ-क़ैस की फ़र्सूदा हुई
सुर्ख़ियाँ हम ने बदल डाली हैं अफ़्सानों की

आँखें तो भीग चुकीं और न प्यार आ जाए
और रूदाद सुनें आप न दीवानों की

मय-कदे आने से पहले का ज़माना तौबा
ख़ाक छानी है हरम और सनम-ख़ानों की

ज़ख़्म-ए-दिल को कोई मरहम भी न रास आएगा
हर गुल-ए-ज़ख़्म में लज़्ज़त है नमक-दानों की

जाने कब निकले मुरादों की दुल्हन की डोली
दिल में बारात है ठहरी हुई अरमानों की

ज़ख़्म पर हँसते हैं अश्कों को गुहर कहते हैं
अक़्ल मारी गई इस दौर में इंसानों की

कितने मोमिन नज़र आते हैं सनम-ख़ानों में
एक काफ़िर नहीं बस्ती में मुसलमानों की

जितनी तज़हीक तिरे शहर में अपनों की हुई
उतनी तौहीन न होगी कहीं बेगानों की

रात बढ़ बढ़ के जो शम्अ' पे हुए थे सदक़े
सुब्ह तक ख़ाक न देखी गई परवानों की

हरम-ओ-दैर की बस्ती में है तमईज़-ओ-नफ़ाक़
कोई तफ़रीक़-ए-मिलल देखी न दीवानों की

लोग क्यूँ शहर-ए-ख़मोशाँ को खिंचे जाते हैं
जाने क्या जान है इस बस्ती में बे-जानों की

रुख़ बदलते हैं दोराहे पे खड़े हैं सालार
सई-ए-नाकाम तो देखे कोई नादानों की

हाथा-छाँटी है अजब और अजब लूट-खसूट
निय्यतें और हैं शायद कि निगहबानों की

पूछे 'गुलज़ार' से है वो ब-ज़बान-ए-सौसन
तुम कहाँ बज़्म में आए हो ज़बाँ-दानों की

  - Gulzar Dehlvi

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar Dehlvi

As you were reading Shayari by Gulzar Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari