falaah-e-aadmiyat mein saubat sah ke mar jaana
yahi hai kaam kar jaana yahi hai naam kar jaana
jahaan insaaniyat vehshat ke haathon zabh hoti ho
jahaan tazleel hai jeena wahan behtar hai mar jaana
yoonhi dair o haram ki thokren khaate phire barson
tiri thokar se likkha tha muqaddar ka sanwar jaana
sukoon-e-rooh milta hai zamaane ko tire dar se
behisht-o-khuld ke maanind ham ne tera dar jaana
hamaari saada-laohi thi khuda-baksh ki khush-fahmi
ki har insaan ki soorat ko ma-fauq-ul-bashar jaana
ye hai rindon pe rahmat roz-e-mahshar khud mashiyyat ne
likha hai aab-e-kousar se nikhar jaana sanwar jaana
chaman mein is qadar sahme hue hain aashiyaan waale
ki jugnoo ki chamak ko saazish-e-bark-o-sharar jaana
hamein khaar-e-watan gulzaar pyaare hain gul-e-tar se
ki har zarre ko khaak-e-hind ke shams o qamar jaana
फ़लाह-ए-आदमियत में सऊबत सह के मर जाना
यही है काम कर जाना यही है नाम कर जाना
जहाँ इंसानियत वहशत के हाथों ज़ब्ह होती हो
जहाँ तज़लील है जीना वहाँ बेहतर है मर जाना
यूँही दैर ओ हरम की ठोकरें खाते फिरे बरसों
तिरी ठोकर से लिक्खा था मुक़द्दर का सँवर जाना
सुकून-ए-रूह मिलता है ज़माने को तिरे दर से
बहिश्त-ओ-ख़ुल्द के मानिंद हम ने तेरा दर जाना
हमारी सादा-लौही थी ख़ुदा-बख़्शे कि ख़ुश-फ़हमी
कि हर इंसान की सूरत को मा-फ़ौक़-उल-बशर जाना
ये है रिंदों पे रहमत रोज़-ए-महशर ख़ुद मशिय्यत ने
लिखा है आब-ए-कौसर से निखर जाना सँवर जाना
चमन में इस क़दर सहमे हुए हैं आशियाँ वाले
कि जुगनू की चमक को साज़िश-ए-बर्क़-ओ-शरर जाना
हमें ख़ार-ए-वतन 'गुलज़ार' प्यारे हैं गुल-ए-तर से
कि हर ज़र्रे को ख़ाक-ए-हिंद के शम्स ओ क़मर जाना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gulzar Dehlvi
our suggestion based on Gulzar Dehlvi
As you were reading Kismat Shayari Shayari