ai masiha-dam tire hote hue kya ho gaya | ऐ मसीहा-दम तिरे होते हुए क्या हो गया - Gulzar Dehlvi

ai masiha-dam tire hote hue kya ho gaya
baithe-bithlaaye mareez-e-ishq thanda ho gaya

yun mera soz-e-jigar duniya mein rusva ho gaya
sher-o-naghma rang-o-nikhat jaam-o-sahba ho gaya

chaaragar kis kaam ki bakhiya-gari teri ki ab
aur bhi chaak-e-jigar mera huwaida ho gaya

hai tiri zulf-e-pareshaan ya mari deewaangi
jo tamasha karne aaya khud tamasha ho gaya

haaye ye taaza hawa gulshan mein kaisi chal padi
bulbul-e-baag-o-bahaaraan roo-b-sehra ho gaya

umr-bhar ki mushkilein pal bhar mein aasaan ho gaeein
un ke aate hain mareez-e-ishq achha ho gaya

kya mere zakham-e-jigar se khil uthi hai chaandni
kin charaagon se zamaane mein ujaala ho gaya

har tarah mayus aur mahroom ho kar pyaar se
jis ke tum pyaare the vo maula ko pyaara ho gaya

ham gunehgaaro ki laghzish hashr mein kaam aa gai
chashm-e-nam ka daaman-e-tar ko sahaara ho gaya

ik meri shaakh-e-nasheman phoonkne ke vaaste
kis ki kaj-fahmi se ghar-bhar mein ujaala ho gaya

ab shafaq ya abr ka gulzaar kyun ho intizaar
un ki aankhon se jo peene ka ishaara ho gaya

ऐ मसीहा-दम तिरे होते हुए क्या हो गया
बैठे-बिठलाए मरीज़-ए-इश्क़ ठंडा हो गया

यूँ मिरा सोज़-ए-जिगर दुनिया में रुस्वा हो गया
शेर-ओ-नग़्मा रंग-ओ-निकहत जाम-ओ-सहबा हो गया

चारागर किस काम की बख़िया-गरी तेरी कि अब
और भी चाक-ए-जिगर मेरा हुवैदा हो गया

है तिरी ज़ुल्फ़-ए-परेशाँ या मरी दीवानगी
जो तमाशा करने आया ख़ुद तमाशा हो गया

हाए ये ताज़ा हवा गुलशन में कैसी चल पड़ी
बुलबुल-ए-बाग़-ओ-बहाराँ रू-ब-सहरा हो गया

उम्र-भर की मुश्किलें पल भर में आसाँ हो गईं
उन के आते हैं मरीज़-ए-इश्क़ अच्छा हो गया

क्या मिरे ज़ख़्म-ए-जिगर से खिल उठी है चाँदनी
किन चराग़ों से ज़माने में उजाला हो गया

हर तरह मायूस और महरूम हो कर प्यार से
जिस के तुम प्यारे थे वो मौला को प्यारा हो गया

हम गुनहगारों की लग़्ज़िश हश्र में काम आ गई
चश्म-ए-नम का दामन-ए-तर को सहारा हो गया

इक मिरी शाख़-ए-नशेमन फूँकने के वास्ते
किस की कज-फ़हमी से घर-भर में उजाला हो गया

अब शफ़क़ या अब्र का 'गुलज़ार' क्यूँ हो इंतिज़ार
उन की आँखों से जो पीने का इशारा हो गया

- Gulzar Dehlvi
1 Like

Subah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar Dehlvi

As you were reading Shayari by Gulzar Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Subah Shayari Shayari