umr jo be-khudi mein guzri hai
bas wahi aagahi mein guzri hai
koi mauj-e-naseem se pooche
kaisi aawaargi mein guzri hai
un ki bhi rah saki na daraai
jin ki askandari mein guzri hai
aasraa un ki rahbari thehri
jin ki khud rahzani mein guzri hai
aas ke jugnuo sada kis ki
zindagi raushni mein guzri hai
ham-nasheeni pe fakhr kar naadaan
sohbat-e-aadmi mein guzri hai
yun to shayar bahut se guzre hain
apni bhi shayari mein guzri hai
meer ke baad ghalib o iqbaal
ik sada ik sadi mein guzri hai
उम्र जो बे-ख़ुदी में गुज़री है
बस वही आगही में गुज़री है
कोई मौज-ए-नसीम से पूछे
कैसी आवारगी में गुज़री है
उन की भी रह सकी न दाराई
जिन की अस्कंदरी में गुज़री है
आसरा उन की रहबरी ठहरी
जिन की ख़ुद रहज़नी में गुज़री है
आस के जुगनुओ सदा किस की
ज़िंदगी रौशनी में गुज़री है
हम-नशीनी पे फ़ख़्र कर नादाँ
सोहबत-ए-आदमी में गुज़री है
यूँ तो शायर बहुत से गुज़रे हैं
अपनी भी शायरी में गुज़री है
मीर के बाद ग़ालिब ओ इक़बाल
इक सदा, इक सदी में गुज़री है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gulzar Dehlvi
our suggestion based on Gulzar Dehlvi
As you were reading Shaayar Shayari Shayari