ped ke patton mein halchal hai khabar-daar se hain
shaam se tez hawa chalne ke aasaar se hain
nakhuda dekh raha hai ki main girdaab mein hoon
aur jo pul pe khade log hain akhbaar se hain
chadhte sailaab mein saahil ne to munh dhanp liya
log paani ka kafan lene ko taiyyaar se hain
kal tawaariikh mein dafnaaye gaye the jo log
un ke saaye abhi darwaazon pe bedaar se hain
waqt ke teer to seene pe sambhaale ham ne
aur jo neel pade hain tiri guftaar se hain
rooh se chheele hue jism jahaan bikte hain
ham ko bhi bech de ham bhi usi bazaar se hain
jab se vo ahl-e-siyaasat mein hue hain shaamil
kuchh adoo ke hain to kuchh mere taraf-daar se hain
पेड़ के पत्तों में हलचल है ख़बर-दार से हैं
शाम से तेज़ हवा चलने के आसार से हैं
नाख़ुदा देख रहा है कि मैं गिर्दाब में हूँ
और जो पुल पे खड़े लोग हैं अख़बार से हैं
चढ़ते सैलाब में साहिल ने तो मुँह ढाँप लिया
लोग पानी का कफ़न लेने को तय्यार से हैं
कल तवारीख़ में दफ़नाए गए थे जो लोग
उन के साए अभी दरवाज़ों पे बेदार से हैं
वक़्त के तीर तो सीने पे सँभाले हम ने
और जो नील पड़े हैं तिरी गुफ़्तार से हैं
रूह से छीले हुए जिस्म जहाँ बिकते हैं
हम को भी बेच दे हम भी उसी बाज़ार से हैं
जब से वो अहल-ए-सियासत में हुए हैं शामिल
कुछ अदू के हैं तो कुछ मेरे तरफ़-दार से हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gulzar
our suggestion based on Gulzar
As you were reading Aadmi Shayari Shayari