zindagi yun hui basar tanhaa
qaafila saath aur safar tanhaa
apne saaye se chaunk jaate hain
umr guzri hai is qadar tanhaa
raat bhar baatein karte hain taare
raat kaate koi kidhar tanhaa
doobne waale paar ja utre
naqsh-e-paa apne chhod kar tanhaa
din guzarta nahin hai logon mein
raat hoti nahin basar tanhaa
ham ne darwaaze tak to dekha tha
phir na jaane gaye kidhar tanhaa
ज़िंदगी यूँ हुई बसर तन्हा
क़ाफ़िला साथ और सफ़र तन्हा
अपने साए से चौंक जाते हैं
उम्र गुज़री है इस क़दर तन्हा
रात भर बातें करते हैं तारे
रात काटे कोई किधर तन्हा
डूबने वाले पार जा उतरे
नक़्श-ए-पा अपने छोड़ कर तन्हा
दिन गुज़रता नहीं है लोगों में
रात होती नहीं बसर तन्हा
हम ने दरवाज़े तक तो देखा था
फिर न जाने गए किधर तन्हा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gulzar
our suggestion based on Gulzar
As you were reading Aawargi Shayari Shayari