husn kii jo mallika hai | हुस्न की जो मल्लिका है - Saagar Singh Rajput

husn kii jo mallika hai
naam uska be-wafa hai

dekh lo tum haal mera
ye muhabbat mein hua hai

main kisi ka tha deewana
ye puraana haadisa hai

dost mera tha kabhi jo
aaj vo dushman mera hai

hai numaaish mein nahin vo
saadgi mein jo maza hai

tum nahin ho ab kisi ke
faisla ye ho chuka hai

tum meri ho kar rahogi
ye ilaahi ne kaha hai

husn kii tu baat mat kar
husn kii fitrat dagaa hai

ishq mein barbaad se tum
poochhte ho ishq kya hai

jab tujhe dekha kisi ne
tab mera ye dil jala hai

gair ne us ko chhua hai
aaj saagar gham-zada hai

हुस्न की जो मल्लिका है
नाम उसका बे-वफ़ा है

देख लो तुम हाल मेरा
ये मुहब्बत में हुआ है

मैं किसी का था दिवाना
ये पुराना हादिसा है

दोस्त मेरा था कभी जो
आज वो दुश्मन मिरा है

है नुमाइश में नहीं वो
सादगी में जो मज़ा है

तुम नहीं हो अब किसी के
फ़ैसला ये हो चुका है

तुम मिरी हो कर रहोगी
ये इलाही ने कहा है

हुस्न की तू बात मत कर
हुस्न की फ़ितरत दग़ा है

इश्क़ में बर्बाद से तुम
पूछते हो इश्क़ क्या है

जब तुझे देखा किसी ने
तब मिरा ये दिल जला है

ग़ैर ने उस को छुआ है
आज 'सागर' ग़म-ज़दा है

- Saagar Singh Rajput
1 Like

More by Saagar Singh Rajput

As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput

Similar Writers

our suggestion based on Saagar Singh Rajput

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari