insaan hamaare daur ka shaitaan hai | इंसाँ हमारे दौर का शैतान है

  - Saagar Singh Rajput

insaan hamaare daur ka shaitaan hai
is baat se shaitaan bhi hairaan hai

mujhko zara ye baat samjhaao sabhi
kya be-wafa ke saath bhi bhagwaan hai

vo khelti hai aaj-kal dil se mere
ye dil mera kya khel ka samaan hai

main ba-wafa har be-wafa se door hoon
dil baa-wafaaon pe mera qurbaan hai

ab chain bhi padta nahin hai aaj-kal
ab zindagi meri bahut halkaan hai

dushman mera sun le mera ye faisla
mujhse bagaavat mein bahut nuksaan hai

main dushmanon se aaj tak haara nahin
is baat ka mujhko bada hi maan hai

bhai mera hai janam se duniya meri
ye zindagi us par meri qurbaan hai

mujhse mera ab haal bhi mat poochiye
be-jaan hoon main rooh bhi be-jaan hai

koii nahin hai ab mera yaaro sagā
mera sagā to bas mera sammaan hai

saagar sabhi ko maanta hai gair ab
saagar abhi har shakhs se anjaan hai

इंसाँ हमारे दौर का शैतान है
इस बात से शैतान भी हैरान है

मुझको ज़रा ये बात समझाओ सभी
क्या बे-वफ़ा के साथ भी भगवान है

वो खेलती है आज-कल दिल से मिरे
ये दिल मिरा क्या खेल का सामान है

मैं बा-वफ़ा हर बे-वफ़ा से दूर हूँ
दिल बा-वफ़ाओं पे मिरा क़ुर्बान है

अब चैन भी पड़ता नहीं है आज-कल
अब ज़िन्दगी मेरी बहुत हलकान है

दुश्मन मिरा सुन ले मिरा ये फ़ैसला
मुझसे बग़ावत में बहुत नुक़सान है

मैं दुश्मनों से आज तक हारा नहीं
इस बात का मुझको बड़ा ही मान है

भाई मिरा है जन्म से दुनिया मिरी
ये ज़िन्दगी उस पर मिरी क़ुर्बान है

मुझसे मिरा अब हाल भी मत पूछिए
बे-जान हूँ मैं रूह भी बे-जान है

कोई नहीं है अब मिरा यारो सगा
मेरा सगा तो बस मिरा सम्मान है

'सागर' सभी को मानता है ग़ैर अब
'सागर' अभी हर शख़्स से अनजान है

  - Saagar Singh Rajput

More by Saagar Singh Rajput

As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput

Similar Writers

our suggestion based on Saagar Singh Rajput

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari