jiski jabeen mein chaand jaisa noor hai
vo apsara hi is jahaan kii hoor hai
jo be-wafaai ke liye mashhoor hai
kyun be-wafaai ke liye majboor hai
vo chaand se rukhsaar waali jaan meri
hai be-wafa phir bhi bahut maghroor hai
duniya jise kahti rahi hai be-wafa
vo shakhs to is shabd se hi door hai
vo hai haseen itni ki uske saamne
chaudahveen ka chaand bhi be-noor hai
jo thaam kar daaman chala sach ka sada
mazdoor tha vo aaj bhi mazdoor hai
bhai mera mujhko haraakar ho khushi
to haar bhi mujhko meri manzoor hai
main ye hamesha yaad rakhta hoon mere
uski jabeen ka haath mein sindoor hai
tasveer ko hi dekh kar bas khush raho
saagar tumhaari jaan tumse door hai
जिसकी जबीं में चाँद जैसा नूर है
वो अप्सरा ही इस जहाँ की हूर है
जो बे-वफ़ाई के लिए मशहूर है
क्यूँ बे-वफ़ाई के लिए मजबूर है
वो चाँद से रुख़सार वाली जाँ मिरी
है बे-वफ़ा फिर भी बहुत मग़रूर है
दुनिया जिसे कहती रही है बे-वफ़ा
वो शख़्स तो इस शब्द से ही दूर है
वो है हसीं इतनी कि उसके सामने
चौदहवीं का चाँद भी बे-नूर है
जो थाम कर दामन चला सच का सदा
मज़दूर था वो आज भी मज़दूर है
भाई मिरा मुझको हराकर हो ख़ुशी
तो हार भी मुझको मिरी मंज़ूर है
मैं ये हमेशा याद रखता हूँ मिरे
उसकी जबीं का हाथ में सिंदूर है
तस्वीर को ही देख कर बस ख़ुश रहो
'सागर' तुम्हारी जान तुमसे दूर है
As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput
our suggestion based on Saagar Singh Rajput
As you were reading undefined Shayari