main jab bhi us haseena se miloonga
ye khaalis dil use tohfe mein doonga
agar usne ijaazat di mujhe to
main uski umr bhar pooja karunga
mujhe bas ik dafa apna kahe vo
main jeevan bhar use apna kahunga
raqeebon ko mere mil jaayegi vo
main yun hi shaayari karta rahoonga
janaaze par mere honge baraati
suno yaaro main bhi dulha banuunga
tumhaare pyaar mein shaair bana hoon
tumhaari yaad mein ghazlein likhoonga
tumhaare naam par kahkar ke ghazlein
main ghar mein baithkar paise ginuunga
jahaan mein bolbala jhooth ka hai
main sachcha hoon yahan kaise rahoonga
badal jaaye bhale poora zamaana
main saagar tha main saagar hi rahoonga
मैं जब भी उस हसीना से मिलूँगा
ये ख़ालिस दिल उसे तोहफ़े में दूँगा
अगर उसने इजाज़त दी मुझे तो
मैं उसकी उम्र भर पूजा करूँगा
मुझे बस इक दफ़ा अपना कहे वो
मैं जीवन भर उसे अपना कहूँगा
रक़ीबों को मिरे मिल जाएगी वो
मैं यूँ ही शाइरी करता रहूँगा
जनाज़े पर मिरे होंगे बराती
सुनो यारो मैं भी दूल्हा बनूँगा
तुम्हारे प्यार में शाइर बना हूँ
तुम्हारी याद में ग़ज़लें लिखूँगा
तुम्हारे नाम पर कहकर के ग़ज़लें
मैं घर में बैठकर पैसे गिनूँगा
जहाँ में बोलबाला झूठ का है
मैं सच्चा हूँ यहाँ कैसे रहूँगा
बदल जाए भले पूरा ज़माना
मैं सागर था मैं सागर ही रहूँगा
As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput
our suggestion based on Saagar Singh Rajput
As you were reading undefined Shayari