muhabbat soch kar ke kaun karta hai
ye jazba sochne se bhi pare ka hai
meri aankhon se tum ye pooch sakte ho
bala kii khoobsurat vo haseena hai
sitam duniya ke saare hain pata mujhko
jise dekho wahi ye baat kehta hai
bada bhola bada maasoom hai saagar
vo duniya ko faqat duniya samajhta hai
मुहब्बत सोच कर के कौन करता है
ये जज़्बा सोचने से भी परे का है
मिरी आँखों से तुम ये पूछ सकते हो
बला की ख़ूबसूरत वो हसीना है
सितम दुनिया के सारे हैं पता मुझको
जिसे देखो वही ये बात कहता है
बड़ा भोला बड़ा मासूम है 'सागर'
वो दुनिया को फ़क़त दुनिया समझता है
As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput
our suggestion based on Saagar Singh Rajput
As you were reading undefined Shayari