maan rakh lo meri jaan meri baat ka
waqt aashiq ko de do mulaqaat ka
din guzar jaayega daudte bhaagte
kuchh karo faisla aaj kii raat ka
zindagi hai fansi beech manjhdhaar mein
ab sahaara hai mujhko tire saath ka
saath bhai ka apne nahin de saka
mujhko kha jaayega dukh isi baat ka
jaanna hai agar qaid hoti hai kya
ek chakkar laga lo hawaalaat ka
phool se titliyan main uda doon magar
khoon karta nahin hoon main jazbaat ka
jeetna haarna soch kii baat hai
dosh hota nahin ismein haalaat ka
मान रख लो मिरी जाँ मिरी बात का
वक़्त आशिक़ को दे दो मुलाक़ात का
दिन गुज़र जाएगा दौड़ते भागते
कुछ करो फ़ैसला आज की रात का
ज़िंदगी है फँसी बीच मँझधार में
अब सहारा है मुझको तिरे साथ का
साथ भाई का अपने नहीं दे सका
मुझको खा जाएगा दुख इसी बात का
जानना है अगर क़ैद होती है क्या
एक चक्कर लगा लो हवालात का
फूल से तितलियाँ मैं उड़ा दूँ मगर
ख़ून करता नहीं हूँ मैं जज़्बात का
जीतना हारना सोच की बात है
दोष होता नहीं इसमें हालात का
As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput
our suggestion based on Saagar Singh Rajput
As you were reading undefined Shayari