mujhe is baat ka sach mein bahut gham hai | मुझे इस बात का सच में बहुत ग़म है

  - Saagar Singh Rajput

mujhe is baat ka sach mein bahut gham hai
ki meri zindagi mein gham ka mausam hai

kabhi aansu gira jo aankh se mere
kaha maine ki ye to gham ka marham hai

ghareebi se raha hai vaasta jiska
use jitna mile uske liye kam hai

rulaaya hai kisi ne jaan ko meri
tabhi to aankh meri is qadar nam hai

tumhaari aankh se bahta hua aansu
muhabbat mein mile zakhamon ka marham hai

मुझे इस बात का सच में बहुत ग़म है
कि मेरी ज़िंदगी में ग़म का मौसम है

कभी आँसू गिरा जो आँख से मेरे
कहा मैंने कि ये तो ग़म का मरहम है

ग़रीबी से रहा है वास्ता जिसका
उसे जितना मिले उसके लिए कम है

रुलाया है किसी ने जान को मेरी
तभी तो आँख मेरी इस क़दर नम है

तुम्हारी आँख से बहता हुआ आँसू
मुहब्बत में मिले ज़ख़्मों का मरहम है

  - Saagar Singh Rajput

More by Saagar Singh Rajput

As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput

Similar Writers

our suggestion based on Saagar Singh Rajput

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari